Mooli Ke Fayde

 

mooli ke fayde

Mooli jar wali mashoor sabzi hai, ye surkh o safed 2 qisam ki hoti hai salad ke tor par khai jati hai ise paka kar bhi khaya jata hai aur iske parathe bhi banaye jate hein. Iska mizaj garam tar hai is mein Vitamin C, Phosphorus, Calcium aur Iron ki khasi miqdar hoti hai. Mooli khane ko hazam karti hai ye antario ki harkat tez kar ke constipation ko khatam karti hai. Peshab band ho to muli khate rehne se afaqa hota hai peshab ke bohat se amraz maslan ruk ruk kar aana, jal kar aana ya qatra qatra aana muli ke istemal se khatam ho jatte hein. Mooli khane se dant mazboot hote hein, gums disease aur Pyorrhoea ko faida hota hai. Mooli ke rus mein zehro ka taryaq hai hath mein muli ka rus mal kar bichoo pakar lein to bichoo ka dung asar nahi karega. Mooli ka rus dhund, jala aur motiyabind ko shifa dekar nazar tez karta hai, mooli jism mein niswani aur mardana amraz ko bhi shifa bakhshti hai, bawaseer ka sab se kamyab ilaj mooli se hi mumkin hai. Yarqan ke marz ko bhi mooli se afaqa hota hai, tilli aur jigar ke amraz mein muli behad mufeed hai, dama nazla zukam, purani khansi, ahosb e chasham mein mooli ka namak behad mufeed hai. 

No comments:

Post a Comment