Imtihan Mein Kamyabi Ki Dua

 

imtihan mein kamyabi ki dua

Har student imtihan mein kamyabi chahta hai aur agar aap bhi imtihan mein kamyab hona chahte hein to mehnat ke sath sath dua aur wazifa bhi karein Insha Allah kamyabi naseeb hogi.

1. Imtihan mein ache numbers se kamyabi ke liye rozana isha ki namaz ke baad ba wuzu 100 martaba Ya Haseebu parhein.

2. Ye Wazifa aap ne musalsal 3 dino tak karna hai aur har roz tanhai mein beth kar 1111 martaba Ya Haseebu parh kar imtihan mein kamyabi ke liye Allah se dua mangni hai aur ye Wazifa aap ne imtihan dene ke baad karna hai.

3. Imtihan mein kamyabi ke liye Surah Anfal ki Ayat # 62 ko imtihan dene ke liye jane se pehle 7 martaba parh liya karein, Insha Allah zaroor kamyabi hogi.

4. Isha ki namaz ke baad awal o akhir 11 , 11 martaba Darood Shareef ke sath 300 martaba Al Malikul Quddusu parh kar khusoo khuzoo ke sath Allah Ta'la se dua karein. Ye amal imtahan ka result aane tak jari rakhna chahiye.

5. Imtihani markaz jane se pehle Surah Yaseen ki Ayat # 40 ko 7 martaba parh kar jayen Insha Allah paper acha hoga.

No comments:

Post a Comment