Shaban Ka Wazifa

 

shaban ka wazifa


Nazireen aaj hum aap ko har hajat ke liye har dua qabool hone ka 1 behtareen Mahe Shaban Ka Wazifa batayengay. Ye Wazifa aap ne mahe shaban mein Isha ki namaz ke baad karna hai. Insha Allah is amal ki barkat se aap ki har jaiz hajat poori hogi aur aap ki har dua qaboo hogi. Nazireen shaban ke mahine mein namaz e Isha ada karne ke baad Ja Namaz par bethe bethe pehle awal o akhir 1 1 martaba Durood Shareef parhein aur darmiyan mein 313 martaba Ayat e Karima parhein aur phir hath uthar kar apni hajaat ke liye apne maqsad ke liye dua  karein. Isha ki namaz parh kar masjid mein beth kar agar ye amal karna mumkin na ho to ghar aa kar ja namaz par beth kar ye amal kar sakte hein. Dua poore yaqeen ke sath karein. Yaqeen ke sath dua karengay to Allah Ta'la zaroor ata karega, Insha Allah. 

No comments:

Post a Comment