Powerful Wazifa For Hajat

 

powerful wazifa for hajat

Baaz Allah walon se manqool hai ke jo shakhs raat ya din ko kisi bhi waqt 2, 2 rakat kar ke 8 nafil is tarah parhe kehar rakat mein Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 15 baar parhe aur in nawafil se farigh ho kar 70 baar Subhan Allah aur phir 70 baar Durood Shareef parhe Allah us ke liye hikmat ke chashme khol deta hai. Jo shakhs ye nawafil parhe ga to is ki barkat se Allah Pak us ke sagheera gunah maaf farma deingay. Jo shakhs in nawafil ko safar par jane se pehle parhta hai to us ke liye safar asan ho jata hai aur agar koi maqrooz ye nawafil parhe to Allah Ta'la qarz ada karne ke asbab paida karta hai aur agar ko sahab e hajat hota hai to Allah Ta'la us ki hajat poori karta hai. Ye hajat ka behtareen wazifa hai.



No comments:

Post a Comment