Chikni Jild Ke Liye Mufeed Ghareloo Totkay

Chikni Jild Ke Liye Mufeed Gharelu Totkay

chikni jild ke liye ghareloo totkay
tips for oily skin
beauty tips for oily skin
chikni jild ke liye upay

2 se 3 dane badam lein or inhen achi tarah pees lein. Half spoon honey mix karein or paste bana lein. 15 se 20 minute tak is paste se chehre ka massage karein. Garam pani mein kapra dip kar ke chehray ko saaf karein phir pani se wash kar lein or dry kar lein. Oily skin ke liye intahai mufeed  nuskha ha.
1 piyali halka garam pani lein or is mein 2 spoon makai ka aata mix karein or paste bana lein. Ab is paste se chehray par vertical circle ki shakal 15 se 20 minute tak massage karein. Ab ise dry hone dein or baad mein halkay garam pani se chehra dho lein. Ise regular use karein. Ye chikni jild ki hifazat ke liye intahai mufeed nuskha ha.
Sirka ka use oily skin ke liye intahai mufeed ha. 1 piyali mein thora sa sirka or cotton ki madad se ise chehre pr lagayen agar aap ki skin sirka se sensitive ha to 1 spoon sirka mein 4 spoon pani milayen or ise cotton ki madad se face par lagayen. Oily skin ki hifazat ke liye intahai mufeed nuskha ha.

No comments:

Post a Comment