Quran Girne Ka Kaffara

Quran Girne Ka Kaffara


Quran Pak agar ghalti se gir jaye to is ka koi kaffara nahi ha is liye ke girane wale ki koi niyat be hurmati ki nahi thi Allah ke kitab ki choot gai gir gai ghalti se aur kisi Musalman se ye tasawur nahi kiya ja sakta ke wo Quran Pak ko khud se giraye. Lekin baaz jaga par Quran Pak ki izzat, adab o ahteram ki waja se jab Quran Pak gir jata ha to Musalman pareshan ho jata ha to ye bhi us ke Iman ki alamat ha, Quran se mohabbat ki alamat ha, to is aetibar se fikarmand ho jana ya pareshan ho jana ye to us ke adab aur Iman ki alamat ha. Lekin agar kisi se Quran Pak ghalti se gir gaya to sharan is ke upar koi girift nahi ha. Agar Quran Pak ghalti se gir jaye to foran us ko uthayen aur choomein aur Allah se maafi mangein.

No comments:

Post a Comment