Mushkilat Door Karne Ka Wazifa


mushkilat door karne ka wazifa

Insaan ki zindagi mein utar charhao aate rehte hein, achi aur buri taqdeer pr Iman rakhna Muslim ke liye zaroori hai. Allah Ta'la ne jahan insan ki dunya mein azmaish ke liye us ke samne kai imtahan rakhe wohi in imtahanat se surkh roo hone ka tarika bhi bataya. Bimari ho ya koi aur masla Allah Ta'la ne apne bando ki rehnumai farmai.
Hadees Shareef mein aata hai ke Allah ne dunya mein koi aesa marz nahi utara jis ka ilaj na us ke sath paida farmaya ho siwae marz ul mot ke har marz ki shifa rakh di gai hai. Hamari roz mara zindagi mein utar charhao mamool ka hissa hein. Maashi pareshania bhi darasal Allah Ta'la ki taraf se banday ko azmanay ka sabab hein takay banda Allah ki har halat mein shukar guzari ka aadi ho aur achay aur buray dono halaat ko Rab ki taraf se samajh kar shukar ada kare.
Allah Ta'la ke 99 ism mubarak hein. Har ism mubarak apne andar alag taseer ka hamil hai. Ism mubarka ke wazaif jahan Rohani muamlaat mein madadgaar sabit hone hein wohi dunyawi mushkilat se bhi chutkara dilane kw bai's hein. Gharelu aur karobari zindagi mein utar charhao aane ki soorat mein Namaz e Isha ke baad awal o akhir Durood Shareef ke sath 303 baar "Ya Mujeebu Ya Wahabu" parhein aur baad az tasbeeh ism mubarka Allah se nihayat khuloos aur dard mandana andaz mein apni mushkilat door aur hajat poori farmane ki Dua karein Insha Allah aap ki dua Allah Ta'la ky yahan maqbool thehre gi.

No comments:

Post a Comment