Dant Safed Karne Ka Totka

Dant Safed Karne Ka Totka

dant safed karne ka totka
dant chamkane ka tarika


Agar aap dant chamkane ke liye har harba aazma kar nakam ho chuke hein to ab mazeed kuch karne ke zaroorat nahi. Bas apnay kitchen mein jaye aur hatheli par thori se haldi daal kar lay aaye. Is haldi ke sath bilkul is tarah brush karein jesay aap tooth powder se brush karte hein aur brush karne ke 3 se 5 minute baad achi tarah kulli karein. Bus yehi wo jadooi formula ha jo dekhte hi dekhte aap ke danto ko motio ke tarah chamka dega.
Website Natural Care Box ki 1 report ke mutabiq ye formula daanto ko chamkane ke liye intahai kargar ha aur khusoosan wo log jo cigarette noshi ya bakasrat tea ya coffee noshi ki waja se apnay danto ko badnuma bana chuke hein in ke liye khas tohfa ha. Wesay bhi aap ko market mein dastayab dant chamkane wali product se door rehna chahiye. In mein aam tor par oxide chemical shamil kiye jate hein jo danto ke beroni kamzori ka bai's bante hein aur in ke musalsal istemal se danto ki sensitive aur dard ka masla paida ho jata ha. Isi tarah baaz aqsam ke tooth paste mein chlorine dioxide bhi use kiya jata ha. Ye wohi chemical ha jo germs marne ke liye pani mein dala jata ha. Agarcha ye danto ki safai ka kaam to karta ha lekin gums ke liye masail ka sabab banta ha aur is ziyada use se dant girne ke amkanat bhi barh jate hein. Is ke bar aks haldi mein mojood natural ingredients na sirf danto ko chamkata ha balke gums ki soozish se bhi nijat dilata ha.
Agar aap powder pasand nahi karte to haldi ka tooth paste bhi bana sakte hein. Is k liye 1 chothai haldi mein 1 spoon ka 8th hissa coconut oil mix karein aur ise aam tooth paste ki tarah brush ke sath danto par use karein. Haldi se brush karne ke baad aap apnay aam tooth paste se mamaool ke mutabiq danto ki safai kar sakte hein takay moo se haldi ke ingredients poori tarah saaf ho jayen.

How To Make Your Teeth Completely White

If you have tried every method to whiten your teeth and failed, there is no need to do anything else. Just go to your kitchen and put some turmeric on your palm. Brush with this turmeric just like you brush with tooth powder and rinse thoroughly after three to five minutes of brushing. This is just the magic formula that will instantly make your teeth shine like pearls. According to a report on the website Natural Care Box, this formula is very effective in whitening teeth and is a special gift for those who have stained their teeth due to smoking or drinking too much tea or coffee. . However, you should stay away from the teeth whitening products available in the market. They usually contain oxide chemicals that weaken the outer enamel of the teeth and their continued use can lead to tooth sensitivity and pain. Similarly, chlorine dioxide is also used in some types of toothpaste. This is the same chemical that is added to water to kill germs. Although it works to clean the teeth, it causes problems for the gums and its excessive use also increases the chances of tooth loss. On the contrary, the natural ingredient "curcumin" present in turmeric not only brightens the teeth but also relieves gingivitis. If you don't like powder, you can also make turmeric toothpaste. For this, mix a quarter teaspoon of turmeric with one eighth of a teaspoon of coconut oil and use it on the teeth with a brush like normal toothpaste. After brushing with turmeric, you can brush your teeth as usual with your normal toothpaste so that the turmeric ingredients are completely removed from the mouth.

No comments:

Post a Comment