Shadeed Beemari Ki Halat Mein Hazrat Khizar Aleh Salam Ki Dua

Shadeed Beemari Ki Halat Mein Hazrat Khizar Aleh Salam Ki Dua

shadeed beemari se nijat ke liye hazrat khizar aleh salam ki dua

Hazrat Allama Muhammad Bin Samak Aleh Rehma bohat jaleel ul qadar muhaddis or ba karamat wali thay. 1 martaba ye bohat sakht beemar ho gaye to in ke mutawassileen in ka qaroora lekar 1 nasrani tabeeb ke paas chalay. Rastay mein in logon ko 1 bohat hi khush poshak buzrug mile jin ke badan se behtareen khushboo aa rahi thi. Inhon ne farmaya ke tum log kahan ja rahe ho? in logon ne kaha ke Hazrat Muhammad Bin Samak Aleh Rehma bohat sakht aleel hein ye un ka qaroora hai jis ko hum falan tabeeb ke paas le ja rahay hein. Ye sun kar in buzrug ne farmaya ke Subhan Allah 1 Allah ke Wali ke liye tum log 1 Allah ke dushman se madad talb kar rahay ho? Qaroora phenk kar wapas jao or Muhammad Bin Samak Aleh Rehma se keh to ke maqam dard par Para # 15 Surah Bani Israil Ayat # 105 parh kar dam karein. Ye farma kar buzrug ghaib ho gaye or logn ne wapas ho kar Hazrat Muhammad Samak Aleh Rehma se zikar kiya to Aap ne maqam dard par hath rakh kar Ayat ke jumlon ko parha to foran hi aram ho gaya. Phir Hazrat Muhammad Bin Samak Aleh Rehma ne logon se farmaya ke wo buzrug jinhon ne tum logo ko ye Wazifa bataya, tumhein khabar hai ke wo kon buzrug thay? Logon ne kaha ji nahi. Hum logon ne unhein nahi pehchana. To Hazrat Muhammad Bin Samak Aleh Rehma ne farmaya ke wo buzrug Hazrat Khizar Aleh Salam thay. Quran Majeed ki Ayat ka itna sa tukra har marz ki mukammal dawa or mujarrab ilaj hai. Marz ki jaga pr hath rakh kar parh diya jae to beemari door ho jati ha. Lekin shart ye hai ke parhne wala pabande shariyat or sidq maqal o rizq halal par karband ho. Bila shuba ye Ayat e shifa amraz ke liye Quran Majeed ke ajaaib mein se hai.

No comments:

Post a Comment