Rozi Mein Barkat Ka Amal

Rozi Mein Barkat Ka Amal

rozi mein barkat ka amal

Log ye shikayat karte hein ke unke hath mein paisa nahi tikta. Jo kamate hein khrach ho jata ha. Goya aesay logon ke rizq mein barkat nahi paai jati. Is masla mein mubtala afrad rozana baad Namaz e Fajar aur Isha ke 1100 martaba Ya Ghaniu ka wird karein to Insha Allah rizq mein barkat hogi aur paisa bhi tikna shru ho jaye ga. Ye mujarrab ha aur rizq mein bandish khatam karne ka behtareen ilaj bhi.
Jo dukandar aur tajir office kholne se pehle 70 martaba Ya Ghaniu parhe ga to Insha Allah karobar mein barkat hogi aur kabhi nuqsan na hoga.
Thursday ke din ya Friday ki raat mein 19000 is Ism Pak ka wird karna aur hamesha is amal ko jari rakhna insan ko ghaib se tongar aur dolat wala bana deta hai ye bara mujarrab amal ha.
Jis shakhs ki dukan na chalti ho ya aamdan bohat kam ho ya dukan pehle bohat chalti thi ab aamdan kam ho gai ha to use chahiye ke subah dukan khol kar sukoon se daily 1000 martaba Ya Ghaniu ka wird kare aur is doran karobar bhi karta rahe Insha Allah bohat jald karobar mein tarakki hogi.

No comments:

Post a Comment