Jumma Ke Din Ka Wazifa

Jumma Ke Din Ka Wazifa

jumma ke din ka wazifa

Aaj hum aapko 1 aesa ism batayengay jo aap Jumma ke din parhein to aap ki tangi door hogi or Allah Pak aap ke rizq mein izafa karega. Jummah ke din is amal ko zaroor kiya karein iske or bhi beshumar fawaid hein. Is amal ki adat ko aap zaroor apana lein ye aap ke liye behad faidamand rahega.
Jumma ke din kisi bhi waqt aap ne 100 bar Allahu parhna hai. Agar aap har Jummah 100 bar Allahu parhein to is is Insha Allah rizq ki tangi door hogi, aap ke liye rizq ke darwazay khul jayengay or Allah Pak aap ke rizq mein barkat farmaye ga. Iske ilawa aap ke jo doosre masail hein wo bhi behtar hote jayengay or aap ki zindagi bohat achi ho jaye gi.

No comments:

Post a Comment