Baraf Se Ilaj

Baraf Se Ilaj

baraf se ilaj
  baraf se ilaaj
treatment from ice

Agar finger mein koi phans chubh jaye to baraf ka piece is par rakh dijiye. Jab wo hissa be his ho jaye to needle ko boiled water mein dip kar ke phans ko nikal lijiye, zara si bhi takleef na hogi.
Baraf se behte hue blood ko band kiya ja sakta hai jahan zakham ho is par ice rakh dijiye blood behna band ho jaye ga.
Agar jism ka koi hissa jal jaye to is par baraf ke tukray se malish karein ya phir baraf se pani ko thanda kar ke mutasira hissa is mein dip karein jalan bhi khatam ho jaye gi or chalay bhi nahi parengay.
Khel ke doran ya kisi or tarah chot lag jaye or dard ho to baraf malye dard kam ho jayega.
Baraf se germs ki growth ruk jati hai. Kiyounkay jab temperature bohat kam ho germs growth nahi pa saktay, lehaza agar zakham par baraf ka piece ka rakh dein to doctor ke aane tak zakham mein germs enter nahi ho saktay.
Zehni uljhan ya dimaghi pareshani ho to baraf ke water mien kapra dip kar ke gardan ke gird lapet lein kafi had tak sukoon mile ga.
Hysteria mein gardan par baraf ke piece rakhne se aram milta ha.

No comments:

Post a Comment