Khansi Or Dama Ka Desi Ilaj

Khansi Or Dama Ka Desi Ilaj

khansi or dama ke khatmay ke liye
khansi or dama ka ilaj
khansi or dama ke liye mufeed ghareloo nuskha

1 quarter burg arosa 1.5 ser pani mein josh dein. 1 quarter rehne par kapray se chaan lein phir purani qandsiya 2 tola is mein daal kar is qadar aag par josh dein k qawam ban jaye or lai ki tarah bilkul garha ho jaye ab is ki goliya bana lein. Goliya chane ke dane ke barabar banayen. 2 goliya bawaqt zaroorat moo mein rakh kar choosay, khansi or dama ke liye behad mufeed hai.
1 spoon honey or half spoon adrak mila pani mila kar is mein bareek siyah pisi hui mirch chirak kar subah nihar moo or raat ko sotay waqt khayen, dama khatam ho jaye ga ye 1 moassar ilaj hai.
Dame ki shikayat hone ki soorat mein onion ka use barha lein or jitna mumkin ho onion khayen takay aap ke nizam e tanaffus ki nalio ki tangi door ho sakay.
Dama or khansi ke liye taza or umda jamun agar mukammal mosam mein ba qaida khaya jaye to dame or daimi khansi ke mareezo ko shifa hasil hoti hai. Is ke ilawa ye in ki bhook or hazmay ki taqat ko bhi  barha deta hai, seenay ke dard ko tehleel karta hai.

No comments:

Post a Comment