Halal Or Haram Ka Farq

Halal Or Haram Ka Farq

halal or haram ka farq
Halal Or Haram Ka Farq In Urdu

Nabi (P.B.U.H) nay farmaya:
"Logo par 1 aesa zamana aaye ga k insan koi parwah nahi karega k jo is nay hasil kiya hai wo halal say hai ya haram say hai."
(Sahih Bukhari Jild 3 Hadees 2059)

So Kar Uthne Ki Sunnatain

So Kar Uthne Ki Sunnatain

so kar uthne ki sunnatein
 So Kar Uthne Ki Sunnatein In Urdu
1. Neend say uth'tay hi dono hatho say chehra or aankho ko malna ta k neend ka khumar door ho jaye. (Shumail)
2. Subah jab aankh khulay to mandarja bala dua parhein.
Tarjuma: sab tareefein Allah Azzawojal k liye hein Jis nay hamein marnay k baad zinda kiya or usi ki taraf uth kar jana hai.
3. Jab so kar uthein to miswak kar lein. (Musnad Ahmad, Abu Daood Safha 8)
    Wuzu may doobara miswak ki jaye. So kar uth'tay hi miswak kar lena Alaihda Suunat hai.

Aadhay Sir K Dard K Wajoohat, Alamat Or Ilaj

Aadhay Sar K Dard K Wajoohat, Alamat Or Ilaj In Urdu

aadhay sir ka dard k wajoohat, alamat or ilaj
migraine headache symptoms, reasons and treatment 
migraine headache spiritual treatment
migraine headache rohani ilaj

Aadhay Sir K Dard K Wajoohat:
Aadhay sir ka dard bohat ziyada jazbati honay, zehni or  jismani thakawat, pareshani, bad hazmi, ghussa, aankho ki thakawat, ghiza ki kharabi ya kisi raqeeq alergy ki waja say hota hai. Aadhay sir ka dard ammoman 14 say 22 saal k nojawano may hota hai.

Alamat:
Subah bedar honay par chakar aatay hein. Aankho k aagay andhera sa aa jata  hai. kabhi kabhi usay andheray may chamak si nazar aati hai. phir kanpati may chubhnay wala dard shru ho jata hai jo aahista aahista phel jata hai. Dard may shiddat aa jati hai. Hilnay julnay, shoro ghul or roshni say dard may izafa  ho jata hai. Agar qay ho jaye to dard kam ho jata hai. 3 say 4 ghanto k baad dard kam hona shru ho jata hai.Dard wali taraf ki putli pheli rehti hai or mareez ko neend aa jati hai. Yed dard sooraj k sath ghat'ta barhta rehta hai, jab mareez  neend say bedar hota hota hai to dard khatam ho chuka hota hai.

Aadhay Sir K Dard Ka Ilaj:
1. Doodh may jalebi ya rabri mila kar tulloo-e-aaftab say pehlay pi lenay say dard theek ho jata hai.
2. Aangoor ka ras 1 cup rozana sooraj nikalnay say pehlay peetay rehnay say dard dafa ho jata hai.
3. Gur 12 gram may 6 gram desi ghee mila kar kha lenay say sooraj k sath barhnay wala dard door ho jata hai.
4. Honey 1 chmcha, namak 1 chutki khanay say aadhay sir ka dard door ho jata hai.
5. Soonth pani may pees kar garam kar lein isay mathay par lab karein or soonghay dard khuwah pooray sir ka ho ya aadhay sir ka khatam ho jaye ga.
6. Sir ki malish karnay say dard foran khatam ho jata hai.

Perhaiz:
Ziyada mehnat, gosht, chaye, coffee or oil may tali hui cheezo ka perhaiz zaroori hai.

Aadhay Sir K Dard Ka Ilaj

Aadhay Sar K Dard Ka Ilaj

aadhay sir k dard ka ilaj in urdu
Sar Ke Dard Ka Ilaj In Urdumigraine headache spiritual treatment
migraine headache rohani ilaj

Surah An-Naas 7 baar (Awal-o-Aakhir 1 baar Durood Sharif) parh kar sir par dam kijiye or poochiye agar abhi dard baqi ho to doosri baar bhi isi tarah dam kijiye agar ab bhi dard ho to teesri baar bhi isi tarah dam kijiye pooray sir ka dard ho ya aadhay sir ka kesa hi shadeed dard ho 3 baar may Insha Allah Azzawojal jata rahay ga.
Pooray sir ka dard ho ya aadhay sir ka dard ho Insha Allah yeh amal karnay say sir ka kesa hi shadeed dard kioun na ho, dard jata rahay ga.


Sir K Baal Lambay Karnay Ka Wazifa

Sir K Baal Lambay Karnay Ka Wazifa

sir k baal lambay karnay ka wazifa in urdu
Sir K Baal Lambay Karnay Ka Wazifa In Urdu
Sir K Baal Lambay Karnay Ka Wazeefa In Urdu

Jawani ki umar may baal motay hotay hein jo baad may nisbatan patlay ho jatay hein. Baal 1 had tak barhnay k baad ruk jatay hein or kuch arsa k baad gir jatay hein. Baal ki umar kam-o-besh 4 saal hoti  hai. Kanghi kartay waqt agar chand baal gir jayen to yeh koi tashveesh ki baat nahi hai. Lekin agar kanghi may baray balo k sath chotay baal bhi nikal aaye to is ka koi na koi sabab zaroor mojood  hai jis ko beemari ka naam diya ja sakta hai.
Balon k girnay may amooman pehli alamat khushki hoti hai. Yeh khushki milawati ghizaon k istamal, tez khushboo dar ghair khalis tail. Sir dhonay ma sabun ka istamal, khanay may namkeen or bohat ziyada chat pati cheezon k istamal ki waja say hoti hai. In cheezo say perhaiz zaroori hai.
Mandar ja bala Sir k baal lambay karnay ka Wazifa 100 martaba parh kar itnay hi pani par dam karein jis say achi tarah sr dhul jaye Hafta may 3 baar is tarah dam kiye huway pani say sir dhoyen is amal ki muddat 1 maah hai.

Agar aap k baal gir rahay hein ya kamzor hein to aap yeh Wazifa lazmi karein Insha Allah aap ko is say bohat faida hoga.

Badan K Dard Ki Dua In Urdu

Badan K Dard Ki Dua In Urdu

badan k dard ki dua in urdu
Badan Ke Dard Ki Dua
Badan Dard Ka Ilaj
Badan Dard Ka Rohani Ilaj 
Rasool Allah (P.B.U.H) nay badan k dard say araam hasil karnay ki yeh dua batai: Dard ki jaga apna hath rakhein or 3 martaba (Bismillah) parhein phir 7 martaba mandarja bala Dua parhein. Yeh badan k dard k liye Sahiah Muslim Hadees hai. Agar aap ko is badan k dard ki dua say faida ho to lazmi yeh badan k dard ki dua doosro ko share karein.

Shohar Ki Narazgi Door Karnay K Liye Wazifa In Urdu

Shohar Ki Narazgi Door Karnay Ka Wazifa In Urdu

shohar ki narazgi door karnay ka wazifa in urdu
Shohar Ki Narazgi Door Karnay K Liye Wazeefa In Urdu

Agar kisi aurat ka khawand aurat par khafa bohat hota ho ya nokar par naraz ziyada hota ho to 41 martaba Ya Maniu parh kar subah-o-sham un k samnay ya peechay say dam kar diya jaye. Insha Allah Azzawajal thoray din may sari shikayat door ho  jaye gi.

Feham-o-Samajh Ki Ziyadti K Liye Islami Dua In Urdu

Feham-o-Samajh Ki Ziyadti K Liye Islami Dua In Urdu

feham-o-samajh ki ziyadti k liye Islami dua in urdu

 Feham-o-Samajh Barhanay K Liye Islamic Dua In Urdu

Yeh Dua 41 roz ya 7 din kali kachi roshnai say likh kar bachay ko pilaye Insha Allah Azzawajal is ka feham tez hoga or jo kuch parhay ga wo yaad rakhay ga.

Sir Dard Ka Rohani Ilaj In Urdu

Sar Dard Ka Rohani Ilaj In Urdu

sir dard ka rohani ilaj in urdu
migraine  headache rohani ilaj

Mareez k mathay ko is tarah pakrein k dahni kanpati par anghoota ho bayen kanpati par shahadat ki ungli ho or Surah Naas is tarteeb say parhein. Surah Naas parhnay k doran har martaba An-Naas ko 3 baar dohrayen gay. Is amal ko 3 baar dohrayen. Insha Allah sir dard say nijat mialy gi.


Susti Aur Kahili Ki Dua

Susti Aur Kahili Ki Dua

Susti Aur Kahili Ki Dua
Susti Aur Kahili
Susti Aur Kahili Ki Dua In Urdu
Susti Ki Dua In Urdu
Kahili Ki Dua In Urdu

"A Allah! Mein teri panah mangta hoo mohtaji, susti, buzdili or bohat ziyada burhapay se."
(Sahi Bukhari 2823)

Lailatul Qadar Ki Fazilat In Urdu

Lailatul Qadar Ki Fazilat In Urdu

lailatur qadar ki fazilat in urdu
Lailatul Qadr Ki Fazilat In Urdu
Lailatul Qadar Ki Fazilat
Lailatul Qadar Ki Fazeelat In Urdu

Ramzan aaya to Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
Ye mahina jo tum par aaya hai is mein 1 aesi raat hai jo hazaro mahino se behtar  hai jo shakhs is se mehroom raha wo har bhalai se mehroom raha, is raat ki saadat se sirf bad  naseeb hi ko mehroom kiya jata hai.

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Gusl Janabat Ka Tariqa

Ghusl-e-Janabat Ka Tariqa

Ghusl-e-Janabat karne wala sab se pehlay ghusul karne ka irada yani niyat karega, Ummul Momineen Memoona (R.A) biyan karti hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne jab ghusul ka irada farmaya to sab se pehle dono hath dhoye, phir sharamgah ko dhoya, phir left hand jis se sharamgah ko dhoya tha zameen par ragra phir is ko dhoya phir kulli ki or naak mein pani dala, phir chehra dhoya, phir kehniyo tak hath dhoye phir sir par pani dala or balon ki jaro tak pani pohanchaya. 3 baar sir par pani dala, phir tamam badan par pani dala, phir jahan Aap (P.B.U.H) ne ghusul kya tha us jaga se hat kar paon dhoye.
Hafiz Ibn-e-Hijar (R.A) farmate hein: Kisi Hadees mein (Ghusul janabat ka wuzu kartay waqt) sir k masah ka zikar nahi hai."
Abdullah Bin Umar (R.A) Rasool Allah (P.B.U.H) ne ghusul-e-janabat mein wuzu kar zikar kartay huway farmate hein k Aap (P.B.U.H) ne sir ka masah nahi kya balkay is par pani dala. Imam Nisai ne is Hadees par yeh baab bandha hai: "Janabat k wuzu mein sir k masah ko tarak karna".
 

Dunya Bhar K Tamam Masail Ka Wazifa

dunya bhar k tamam masail ka wazifa
Tamam Masail Ka Wazifa
Tamam Masail Ka Wazifa In Urdu

This Wazifa is the solution to the problem you all around the world are suffering from if you have had any need to constantly read this Wazifa, ablution without ablution and then go read it all the time Insha Allah blessed him of what you'll get through.

Note: These three names of Allah Almighty blessed the reader will find the blessings of reading three thousand names.

Masaib-o-Buri Taqdeer Say Panah Mangnay Ki Dua

Masaib-o-Buri Taqdeer Say Panah Mangnay Ki Dua

masaib-o-buri taqdeer say panah mangnay ki dua

Hazrat Abu Hurairah narrated that the Holy Prophet (P.B.U.H) bad luck, misery, the enemies to be happy and were seeking refuge from hard trouble.

Hazrat Abu Harairah (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) buri taqdeer, bad bakhti, dushmano ke khush hone or sakht museebat se panah manga karte thay.

A Allah! mein Aap ki panah mein aata hoo buray faislay se or bad bakhti ke milnay se or dushmano ke khush hone se or bala ki mushaqqat se.

Chicken Pox K Nishan Khatam Karnay K Liye

chicken pox k nishan khatam karnay k liye
chicken pox ke nishan khatam karne ke upay
chicken pox ke nishan khatam karne ka totka

50 gram sandal mein 10 gram gul khatmi daal kar powder bana lein. Ab ise thoray se milk mein shamil kar ke lagayen or kuch dair baad pani se dho lein.

Gunah Se Bachne Ki Dua

Gunah Se Bachne Ki Dua

gunah se bachne ki dua

Jab dil mein gunah ki khuwahish paida ho to gunah se bachne ki ye dua parhein.
(Surah A'raf : 126)
"A hamare parwardigar! hum par sabar ke pemanay undail de aur hamein is halat mein maut day ke hum tere tabedar hon."