Juma Ke Din Durood Pak Parhne Ki Fazilat

Juma Ke Din Durood Pak Parhne Ki Fazeelat

Juma Ke Din Durood Pak Parhne Ki Fazilat
Juma Ke Din Durood Pak Parhne Ki Fazail

Juma ke roz Mujh par Durood Pak ki kasrat karo, kiyounkay yeh youm mashoor hai is roz Farishtay hazir hotay hein or beshak tum mein se koi jab Durood Pak parhta hai to us ke Durood Pak parhne se farigh hone se pehlay hi us ka Durood Pak meray darbar mein pohanch jata hai.

Gunah Mita Denay Wala Amal

Gunah Mita Denay Wala Amal

Gunah Mita Denay Wala Amal
Mohsin-e-Insaniyat Rehbar Kamil Hadi Barhaq Mere Aaqa Janab Mohammad Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya Jo shakhs 1 din mein 100 martaba Subhanallahi Wa Bihamdihi kehta hai us ke gunah mita diye jatay hein agarcha wo samundar ki jhaag ke barabar hi ho". (Sahi Bukhari, Hadees 6405)

Hamal Thehernay K Liye

Hamal Thehernay K Liye

Hamal Thehernay K Liye

Jis Aurat K Hamal Na Theherta Ho

Jis aurat ko hamal na rehta ho 7 din tak nihar moo roti k tukray par darj bala Ayat likh kar khaye Insha Allah hamal theher jaye ga. Chand ki pehli tareekh say yeh amal shru kiya jaye zaroor Insha Allah kamyabi hogi. Tajurba se nihayat mufeed sabit huwa hai.

Juma K Roz Kasrat K Sath Dua Karna

Jumma K Roz Kasrat K Sath Dua Karna

Jumma K Roz Kasrat K Sath Dua Karna
Sahi Bukhari And Sahi Muslim Hadees In Urdu

 Jumma ke roz 1 waqt Dua ki qabooliyat ka hai, agar is mein Rab se Dua ki jaye to Allah Ta'la qabool farmata hai. 
Abu Hurera (R.A) bayan kartay hein ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne Jumma ka din ka zikar kiya or farmanay lagay:
"Is mein aesi ghari hai jo Musalman banday ke muwafiq aa jaye or wo us waqt Namaz ada kar raha ho to Allah Ta'la se jo sawal karega Allah Ta'la usay wohi ata farmayega, or unho ne apne hath se is waqt ke kam honay ka ishara kiya"

Kiya Aap Chahtay Hein K Aap K Ghar May Kabhi Faqa Na Ho

Kiya Aap Chahtay Hein K Aap K Ghar May Kabhi Faqa Na Ho

faqa se bachne ke liye
Surah Waqia K Fawaid
Faqa Kashi Se Mehfooz Rehnay Ka Wazifa

Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) se riwayat hai k Nabi Akram (P.B.U.H) ne farmaya:
"Jo shakhs har raat ko Surah Waqia parhe use kabhi faqa nahi hoga".

Agar Ghar May Choohay Or Keeray Makoray Waghera Ho To

Sura Maoon Ke Fawaid

choohay or keeray makoray say nijat ka amal

Agar ghar mein choohe, pisu, lizards, keeray makoray, snake or bichhoo ho to Surah Maoon 7 dafa oonchi awaz mein parhein. Insha Allah sab khatam ho jayengay.

Wuzu Ki Barkat

Wuzu Ki Barkat

Wuzu Ki Barkat
wuzu k fawaid
wazoo k fawaid
benefits of ablution

Nabi Kareem (P.B.U.H) ne farmaya: 
Meri Ummat ko qayamat ke din is tarah bulaya jaye ga k un ki peshaniya or un ke paon wuzoo ki waja se chamak rahe hongay.

Wo Log Jin Ki Dua Rad Nahi Hoti

Wo Log Jin Ki Dua Rad Nahi Hoti

Wo Log Jin Ki Dua Rad Nahi Hoti
Ibn-e-Maja Hadees About Dua
wo log jin ki dua zaya nahi hoti

Syedna Abu Hurera (R.A) bayan karte hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
3 duaon ki qabooliyat mein koi shak nahi
1. Mazloom ki dua
2. Musafir ki dua
3. Walid ki apni aulad ke haq mein dua

Takabbur Karnay Walo Ka Anjam

Takabbur Karnay Walo Ka Anjam

Takabbur Karnay Walo Ka Anjam
takabbur ke nuqsanat

Hazrat Jabir (R.A) Nabi Kareem (P.B.U.H) se riwayat karte hein k Aap (P.B.U.H) ne irshad farmaya: "Qayamat ke roz Khuda kuch logo ko chiyoontio ke shakal mein uthaye ga. Log unhein apne qadmo se rondengay. Poocha jayega ye chiyoontio ki shakal mein kon log hein? Inhein bataya jayega ke ye wo log hein jo takabbur krte thay".

Kiya Aap Ki Dua Qubool Nahi Hoti

Kiya Aap Ki Dua Qubool Nahi Hoti

Kiya Aap Ki Dua Qubool Nahi Hoti
Dua Ki Qabooliyat K Liye Sahi Muslim Hadees
dua qabool na hone ke wajoohat
meri dua qabool  nahi hoti

Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Insan jab tak gunah or qata rehmi ki dua na kare us ki dua qabool hoti rehti hai bashart ye k wo jald bazi na kare.
Poocha gaya Ya Rasool Allah (P.B.U.H)! Jald bazi karne ka kiya matlab hai?
Aap (P.B.U.H) ne farmaya:
Jald bazi yeh hai k insan you kahe: Mein ne dua ki phir dua ki lekin mujhay to dua qabool hoti nazar nahi aati or ukta kr dua karna chor de." (Sahi Muslim 7112)

Nazr-e-Bad Ka Ilaj

Nazr-e-Bad Ka Ilaj

Nazr-e-Bad Ka Ilaj
the evil eye treatment
the evil eye spiritual treatment

Mein Allah ke mukammal kalmat ke zarya panah mangta hoo har shaitan se, har zehrile keeray or har nazr-e-bad wali aankh se.

Yarqan K Liye Rohani Ilaj

Yarqan K Liye Rohani Ilaj

Yarqan K Liye Rohani Ilaj

Surah Taghabun 3 dafa hath par dam kar ke maiday par hath pher lein or (See in image) Para 30 7 dafa pani par dam kar ke piyen kisi bhi Namaz ke baad yeh Wazifa shru karein. Yeh Wazifa 3 mah musalsal karein kisi bhi din nagha na karein. Allah ke fazal o karam se yarqan ka asar baqi na rahay ga. Is wazifay ki badolat meri ammi bilkul theek hein or un ke test bhi theek aaye thay. Yeh aazmaya huwa amal hai lehaza Wazifa kijiye ga Insha Allah rahat milay gi. Agar is Wazifay ki waja se kisi ko shifa mili ho to Dua mein zaroor yaad rakhiye ga.

La Ilaj Mareez K Liye Aasan Ilaj

La Ilaj Mareez K Liye Aasan Ilaj

La Ilaj Mareez K Liye Aasan Ilaj

Safar Ka Mubarak Mahina Or Toham Parasti

Safar Ka Mubarak Mahina Or Toham Parasti

Safar Ka Mubarak Mahina Or Toham Parasti
Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Safar ke  mahine ko manhoos samajhna toham parasti hai  jiski koi haqeeqat nahi". (Sahi Bukhari 5757)

Gurday Or Pittay Ki Pathri Ka Ilaj

Gurday Or Pittay Ki Pathri Ka Ilaj

Gurday Or Pittay Ki Pathri Ka Ilaj

Agar kisi ke gurday or pittay mein pathri ho to darj bala Ayat ko 41 martaba parh kar pani par dam kar ke rozana pilatay rahein. Insha Allah takleef door ho jayegi.

Aurat Par Qudrat Hasil Karnay K Liye 1 Qurani Amal

Aurat Par Qudrat Hasil Karnay K Liye 1 Qurani Amal

Aurat Par Qudrat Hasil Karnay K Liye 1 Qurani Amal

Hazrat Thanvi (R.A) Hazrat Iman Hasan Basri (R.A) se kisi ne zikr kiya ke falan shakhs ne nikah kiya magar aurat par qadir nahi ho saka to Aap (R.A) ne 2 baiza murch (Egg) josh diye hue mangwaye on in ka chlka utar kar 1 par (Para 27 Surah Az Zariyat Ayat 47) likhi or mard ko khane ko diya or doosray par (Para 27 Surah Az Zariyat Ayat 48) likhi.

Gurday K Imraz Ka Ilaj

Gurday K Amraz Ka Ilaj

Gurday K Amraz Ka Ilaj
Wazaif To Cure Kidney Disease

Surah A'raf Ayat # 57 subah o sham 11 bar parh kar pani par dam kar ke pi lein Insha Allah marz se shifa milegi awal aakhir Durood Sharif 3 bar.

Thyroid Ka Ilaj

Thyroid Ka Ilaj

Thyroid Ka Ilaj
Wazifa To Cure Thyroid Disease

Surah Nahl Ayat # 69, 21 bar parh kar pani par dam kar ke pi lein Insha Allah marz se shifa milegi (Awal aakhir Durood Sharif 11 bar).

Bad Nami Say Bachnay Ka Wazifa

Bad Nami Say Bachnay Ka Wazifa

Bad Nami Say Bachnay Ka Wazifa

Agar kisi dushman waghera ki taraf se badnami ka andesha ho to us waqt darj bala Ayat ko Subah o Sham 41 martaba parh kar apnay upar phoonk dein

Shohar Ka Maqam

Shohar Ka Maqam

Shohar Ka Maqam
Hazrat Maaz Bin Jabal (R.A) se riwayat ha k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Dunya mein  jab koi aurat apnay shohar ko satati hai to Jannat mein mojood is ki khoobsurat aankho wali hoorein is ki dunyawi biwi se kehti hai: Tera satya naas ho, is ko mat sata, ye to teray paas chand din ka mehmaan hai or jald hi tujh se juda ho kar hamaray paas (Jannat) aanay wala hai". (Sunan Al-Tirmizi: 1174)

Allah Ta'la Muslim biwio ko shohar ke huqooq ada karne ki tofeeq ada karne ki tofeeq ata farmaye.

Maghfirat Ki Dua

Maghfirat Ki Dua

Maghfirat Ki Dua
Dua-e-Maghfirat

 "A Allah mere aglay or pichlay saray gunah maaf farma or wo gunah bhi jo mein ne chup kar kiye hein or jo zahir mein kiye hein or wo bhi jinhein tu mujh se ziyada janta hai to aage karne wala hai tu hi peechay karne wala hai teray siwa koi Ilah nahi."

Qayamat Ki Nishani

Qayamat Ki Nishani

Qayamat Ki Nishani
Qayamat Ki Nishani
Nabi Kareem (P.B.U.H) ne irshad farmaya!
Sab se pehlay jo cheez logo ke darmiyan se uthai jaye gi wo amanat dari hai or sab se peechay jo cheez in ke darmiyan reh jayegi wo Namaz hai or bohat se Namazi aesay hein jin ki Khuda ke nazdeek koi wuqat nahi hai.

Buri Mot Say Allah Ki Panah

Buri Mot Say Allah Ki Panah

Buri Mot Say Allah Ki Panah
Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne 7 qisam ki amwat se panah mangi:
1. Achanak or nagahani mot
2. Saanp ke dasnay se  mot
3. Darinday ki cheer phaar se mot
4. Pani mein doob jane se mot
5. Jal jane se mot
6. Kisi cheez par girne ya us par kisi cheez ke gir jane se mot
7. Maidan-e-Jahad se bhagtay hue mot.
(Musnad Ahmad Bin Hanbal:6594)