Sadqa Ki Fazeelat

Sadqa Ki Fazeelat

Sadqa Ki Fazeelat

Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya jis ne pak kamai se 1 khajoor ke barabar sadqa kiya to Allah Ta'la us ko apne dayen hath mein le leta hai or Allah sirf pak kamai ko qabool karta hai, phir us ko khairat karne wale ke liye palta rehta hai jis tarah tum mein se koi shakhs apne bachre ko palta hai yahan tak ke wo khairat pahar ke barabar ho jati hai.

Kalonji K Fawaid

Kalonji K Fawaid

Kalonji K Fawaid

 

  Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya is siyah dane (Kalonji) ko zaroor istamal karo. Kiyounke Kalonji ke fayde bohat hein aur kalonji mein maut ke ilawa har beemari ka ilaj hai.

Murday Ko Sawab Pohanchna

Murday Ko Sawab Pohanchna

Murday Ko Sawab Pohanchna
Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Nabi Pak (P.B.U.H) ne farmaya: Jab insan mar jata  hai to is ke amal ka silsila khatam ho jata hai, magar 3 cheezo ka sawab use milta rehta hai, 1 Sadqa Jaria, ya wo ilm jis se faida uthaya jaye, ya naik aulad jo is ke liye Dua-e-Khair karti  hai.

Fikar Mandi Or Gham Ki Dua

Fikar Mandi Or Gham Ki Dua

Fikar Mandi Or Gham Ki Dua
gham ki dua
dua at the time of sorrow

A Allah! Mein panah chahta hoo  teray zariye se pareshani or gham se, aajiz ho janay or kahili se or buzdili or bukhal se, qarz ke bojh or logo ke tasallut se.

 

Farz Namaz K Baad Ayat-Ul-Kursi Parhna

Farz Namaz K Baad Ayat-Ul-Kursi

Farz Namaz K Baad Ayat-Ul-Kursi
Farz Namaz ke baad Ayat Al Kursi parhna kesa hai
Farz Namaz k baad Ayat Al Kursi pardhna

Hazrat Abu Umama (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah ne irshad farmaya:
"Jo shakhs har Farz namaz be baad Ayat Al Kursi parhe to is ke liye Jannat mein dakhil hone mein siwaye mot ke koi rukawat  nahi."

Shehad Ki Taseer

Shehad Ki Taseer

Shehad Ki Taseer
shehad k fawaid
effectiveness of honey

Nabi Kareem (P.B.U.H) ne farmaya:
Jo shakhs har mahinay mein 3 din subah k waqt shehad chaat le phir wo kisi bari museebat o bala mein mubtala nahi hota.

Nazr-e-Bad Se Hifazat Ki Mukhtasar Dua

Nazr-e-Bad Se Hifazat Ki Dua

Nazr-e-Bad Say Hifazat Ki Mukhtasar Dua 
Nazr-e-Bad Se Hifazat Ki Dua In Urdu
Nazre Bad Ka Ilaj 
Nazre Bad Ka Rohani Ilaj
Nazre Bad Ki Dua In Urdu 

Hazrat Abdullah Ibne Abbas (R.A) se marwi hai ke Rasool Allah (P.B.U.H) Hazrat Hasan o Hussain (R.A) ki darj bala kalmat ke sath hifazat farmate thay.

Mein Allah Ta'la ki hifazat mein aana chahta hoo tamam jinn o asaib se or har buri nazar se.

Faida: Apne bacho par subah o sham in kalmat ko 3 3 bar parh kar dam karein. Insha Allah nazar se hifazat rahe gi, lagi hui nazar utar jaye gi or shaitan ke shar se hifazat rahe gi.



Sadqa Ki Fazilat


sadqa ki fazilat



Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya.
Jab bhi koi musalman apni  halal kamai se ikhlas ke sath sirf 1 khajoor ka sadaqa karta hai to Allah Ta'la apni meherbani se use qabool kar letay hein, phir use barhatay hein hatta ke wo pahar ki tarah ya is se bhi barh jati hai yani is khajoor ka boat ziyada sawab is shakhs ke Naam-e-Aemaal mein likha jata hai. (Bukhari)

Jannat May Dakhil Honay Ka Amal

Jannat May Dakhil Honay Ka Amal

Jannat May Dakhil Honay Ka Amal
  Hazrat Abu Ayub Khalid Bin Zaid Ansari (R.A) riwayat kartay hein k 1 shakhs ne arz kiya Ya Rasool Allah (P.B.U.H) mujhay koi aesa amal bataye jo mujhay Jannat mein dakhil kar de or dozakh se door rakhe. Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya Allah Ta'la ki ibadat karo, is ke sath kisi ko shareek na thehrao, Namaz qaim karo, Zakat ada karte raho or sula rehmi karo. (Muslim)

Hamaray Piyaray Nabi (P.B.U.H) Ki Sakhawat

Hamaray Piyaray Nabi (P.B.U.H) Ki Sakhawat

Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ki sakhawat
Hazrat Jabir (R.A) se marwi hai k Aap (P.B.U.H) se jis cheez ka bhi sawal kiya gaya to Aap (P.B.U.H) ne is jawab mein nahi na farmaya.
Hazrat Ibn-e-Abbas farmatay hein k Sarkar Do Alam (P.B.U.H) sab se ziyada sakhi thay or Aap (P.B.U.H) ki sakhawat Mah-e-Ramzan mein bohat ziyada ho jati thi.
1 bar kisi shakhs ne sawal kiya k dono paharon k darmiyan jitni goats hein sab use day di jayen. Aap (Peace Be Upon Him) ne wo sari goats use ata far di. Us ne apnay qabeelay walo se jakar kaha, tum Islam qabool karlo, Khuda ki qasam! Mohammad (Peace Be Upon Him) aesi sakhwat kartay hein k maal k khatam honay ka andesha dil mein latay hi nahi.

Ghuroor-o-Takabbur Ka Anjam

Ghuroor-o-Takabbur Ka Anjam

Ghuroor-o-Takabbur Ka Anjam
Hazrat Umar (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne irshad farmaya:
"Jo Allah Ta'la k liye tawazo inkasari ikhtiyar karta hai to Allah Ta'la us ko buland farmatay hein jis k natijay mein wo apnay aap ko to chota samajhta hai lekin logo ki nazro mein ooncha or buland ho jata hai.
Or jo ghuroo o takabbur karta hai Allah Ta'la us ko zaleel kar detay hein (Jis k nateejay mein) wo apnay aap ko to bohat bara samajhta hai lekin logo ki nigaho mein chota or zaleel ho jata hai hatta k kuttay or khinzeer se bhi bad tar lagnay lagta hai."

Musawat-o-Barabari

Musawat-o-Barabari

Musawat-o-Barabari
Aap (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
A logo! tumhara Rab bhi 1 hai or tum 1 baap Hazrat Adam (A.S) ki aulad ho lehaza kisi arabic ko ajmi par or kisi ajmi ko arabic par, isi tarah kisi goray ko kalay pr or kalay ko goray par koi fazeelat hasil  nai, fazeelat ka mayar sirf or sirf taqwa o parhez gari hai."