Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

Gusl Janabat Ka Tariqa

Ghusl-e-Janabat Ka Tariqa

Ghusl-e-Janabat karne wala sab se pehlay ghusul karne ka irada yani niyat karega, Ummul Momineen Memoona (R.A) biyan karti hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne jab ghusul ka irada farmaya to sab se pehle dono hath dhoye, phir sharamgah ko dhoya, phir left hand jis se sharamgah ko dhoya tha zameen par ragra phir is ko dhoya phir kulli ki or naak mein pani dala, phir chehra dhoya, phir kehniyo tak hath dhoye phir sir par pani dala or balon ki jaro tak pani pohanchaya. 3 baar sir par pani dala, phir tamam badan par pani dala, phir jahan Aap (P.B.U.H) ne ghusul kya tha us jaga se hat kar paon dhoye.
Hafiz Ibn-e-Hijar (R.A) farmate hein: Kisi Hadees mein (Ghusul janabat ka wuzu kartay waqt) sir k masah ka zikar nahi hai."
Abdullah Bin Umar (R.A) Rasool Allah (P.B.U.H) ne ghusul-e-janabat mein wuzu kar zikar kartay huway farmate hein k Aap (P.B.U.H) ne sir ka masah nahi kya balkay is par pani dala. Imam Nisai ne is Hadees par yeh baab bandha hai: "Janabat k wuzu mein sir k masah ko tarak karna".
 

No comments:

Post a Comment