Aadhay Sir K Dard K Wajoohat, Alamat Or Ilaj

Aadhay Sar K Dard K Wajoohat, Alamat Or Ilaj In Urdu

aadhay sir ka dard k wajoohat, alamat or ilaj
migraine headache symptoms, reasons and treatment 
migraine headache spiritual treatment
migraine headache rohani ilaj

Aadhay Sir K Dard K Wajoohat:
Aadhay sir ka dard bohat ziyada jazbati honay, zehni or  jismani thakawat, pareshani, bad hazmi, ghussa, aankho ki thakawat, ghiza ki kharabi ya kisi raqeeq alergy ki waja say hota hai. Aadhay sir ka dard ammoman 14 say 22 saal k nojawano may hota hai.

Alamat:
Subah bedar honay par chakar aatay hein. Aankho k aagay andhera sa aa jata  hai. kabhi kabhi usay andheray may chamak si nazar aati hai. phir kanpati may chubhnay wala dard shru ho jata hai jo aahista aahista phel jata hai. Dard may shiddat aa jati hai. Hilnay julnay, shoro ghul or roshni say dard may izafa  ho jata hai. Agar qay ho jaye to dard kam ho jata hai. 3 say 4 ghanto k baad dard kam hona shru ho jata hai.Dard wali taraf ki putli pheli rehti hai or mareez ko neend aa jati hai. Yed dard sooraj k sath ghat'ta barhta rehta hai, jab mareez  neend say bedar hota hota hai to dard khatam ho chuka hota hai.

Aadhay Sir K Dard Ka Ilaj:
1. Doodh may jalebi ya rabri mila kar tulloo-e-aaftab say pehlay pi lenay say dard theek ho jata hai.
2. Aangoor ka ras 1 cup rozana sooraj nikalnay say pehlay peetay rehnay say dard dafa ho jata hai.
3. Gur 12 gram may 6 gram desi ghee mila kar kha lenay say sooraj k sath barhnay wala dard door ho jata hai.
4. Honey 1 chmcha, namak 1 chutki khanay say aadhay sir ka dard door ho jata hai.
5. Soonth pani may pees kar garam kar lein isay mathay par lab karein or soonghay dard khuwah pooray sir ka ho ya aadhay sir ka khatam ho jaye ga.
6. Sir ki malish karnay say dard foran khatam ho jata hai.

Perhaiz:
Ziyada mehnat, gosht, chaye, coffee or oil may tali hui cheezo ka perhaiz zaroori hai.

3 comments:

  1. Sir k peshly hisy Mai indruni Drd hai... Sir Drd golion sy b koi aram nhi

    ReplyDelete
  2. 03409181861 pleas mjy ade sar ka dard

    ReplyDelete