Larkay Larkiyo K Behtareen Rishtay K Liye
Para 20, Surah Namal ki Ayat 62 ko behtareen rishta talash karnay k liye har Namaz k baad 41 martaba parh kar dua karein. Waldain apni aulad k liye bhi kar saktay hein.
Ache Rishte K Liye Wazifa
Bawuzu ho kar kisi bhi waqt din ya raat mein baith jaen. Durood e Ibrahimi 11 martaba parhen. darmiyan mein ye dua/ayat parhen:
Rabbi inni lima anzalta ilayya min khairin faqeer
Is ayat ko 313 martaba dili yaqeen ke sath parhen, aakhir mein dobara 11 martaba Durood e Ibrahimi parh kar Allah Ta’ala se achay aur naik rishte ki dua karen. Ye wazifa aap rozana baad Namaz e Isha ya baad Namaz e Fajr kar sakte hein. Yaqeen aur sabr ke sath karne se InshaAllah behtareen rishte ke asbaab paida honge.


No comments:
Post a Comment