Balo Ko Lamba Karnay K Mufeed Nuskhay

Balo Ko Lamba Karnay K Mufeed Nuskhay
balo ko lambar karnay k mufeed nuskhay

Misri khawateen apne dor mein singhar khoob karti thi. Fan-e-aaraish mein in ka jawab nahi tha. Balon ke baray mein inka confidence ye tha chandni raat mein especially chodhwi ko baal tarashe jaye to bohat tezi se baal barhte hein baal taqreeban 1 month mein half inch barh jate hein. Baal 1 aesi cheez hai jinhein kabhi bhi fashion se bahar nahi nikala ja sakta. Baal jism ka lazmi hissa hai. Balon ki dekh bhaal karna hifazat karna inhein har beemari se bachana or in ka husn barqarar rakhne ki koshish karna, khatoon ke saleeqa mand hone ka andaza is ke balon ko dekh kar bakhoobi ho jata hai.

Balon Ko Lamba Karne Ke Liye Mufeed Or Sasta Nuskha:

Balon ko lamba karne ke liye 1 pao sarso ka oil or aadha pao methi ka beej mila kar 1 hafta ke liye dhoop mein rakh dein or nahane se taqreeban 2 ghante pehle achi tarah sar par malish kar lein. 1 hafta mein 2 martaba yeh nuskha zaroor azmayen.
Amla 1 pao, sika kai 1 pao or reethay 1 pao lekar sab ko alag alag pees kar rakh lein. Jab baal dhone ho to 1 kilo pani mein teeno cheezo ka 1 1 bara chamcha daal kar pani mein ubal lein, jab pani aadha reh jaye to is pani se sar dho lein, is tareekay se baal lambay, ghane or siya ho jayengay.

Balon Ki Khushki Door Karne Ke Liye:

1 cup curd mein 1 adad egg mix karein or nahane se 1 ghanta pehle laga lein. Balon ki khushki door ho jayegi.

Girte Hue Balon Ke Liye:

1 egg lekar achi tarah phent lein. Phir neem garam oil mein egg ko mila dein. Is ke baad ye mixture balon ki jaron mein kam az kam 10 minute massage kar ke jazb kar lein or 1 ghanta baad sar dho lein. Yeh amal haftay mein 2 martaba karein or 2 month tak jari rakhein, girte hue baal ruk jayengay.
Khushk balon ko dhone se pehlay oil ka massage zaroor karein, 10 minute tak oil laga rehnay dein. Shampoo karne ke baad conditioner ka use zaroor karein. Ziyada se ziyada brush karein takay sar ki skin ko tehreek milay blood circulation mein izafa ho or balon ka natural roghan yaksan tor par phel jaye. Khush balon ko bohat ziyada or rozana shampoo se avoid karein, apni ghiza mei protein or doosri quwat bakhsh foods ka use barha dein. Nahaen ke baad hair dryer ka use kam se kam karein, khare pani se nahane se bhi baal khush ho jate hein, nange sar dhoop mein nikalne se bhi gurez karna chahiye.
15 din mein 1 martaba dahi anday ka use karein is ke ilawa mehandi bhi aesay balon ke liye useful hai.

4 comments:

  1. aoa.....meary baal 4 saal pehlay bht healthy thay but graduall bht ziada km hotay gay or ab sahid baalo ka 1/4th e reh gya hai ...bilkul thk baal hota hai dekhnay may laykin root say tuu"ta hai or baalo k end may tips baal ajeeb huay hein unhay pkru to wahn say toot jatay hein ...???kya krun mai ???help meeeeeeeee :(

    ReplyDelete
    Replies
    1. Visit
      http://www.islamiwazaif.com/2014/09/agar-sar-ke-baal-bohat-girte-ho.html

      http://www.islamiwazaif.com/2014/07/sir-k-baal-lambay-karnay-ka-wazifa.html

      http://www.islamiwazaif.com/2014/05/girtay-balo-ka-aasan-ilaj.html

      Delete
  2. Hi sir my hair is weak so give me advice

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aamla 500 gram

      Sikakai 250 gram

      Methi ke beej 125 gram


      Tamam ashya ko pees kar powder ki shakal mein mehfooz kar lein.

      Jab bhi baal dhone ho taqreeban 25 gram miqdar 1 glass pani mein bhigo dein. 20 minute bhigoye rakhen or phir is se sar dho lein.

      Kamzor balon ke liye yehi tareeka use karein. Choonkay ye tareeka chemicals waghera se pak ha is liye balon ke lie nuqsan deh nahi ha. Is se baal girna bohat jald band ho jayengay.

      Delete