Wuzu K Faraiz

Wuzu K Faraiz
wuzu k faraiz
Wuzu mein baaz cheezein farz hein k agar in mein se 1 bhi choot jaye ya kuch kami reh jaye to wuzu nahi hota or admi bay wuzu rehta hai. Wuzu mein sirf 4 cheezein farz hein:
1. 1 martaba sara moo dhona.
2. Aik aik bar kehniyo samait dono hath dhona.
3. Aik  bar chothai sar ka masah karna.
4. Aik aik martaba takhno samait dono paon dhona.
Itna karne se wuzu ho jayega lekin Sunnat ke mutabiq wuzu karne se wuzu kamil hota hai or ziyada sawab milta hai.

1 comment: