Get Rid Of Dark Circles

Aankhon Ke Gird Siyah Halke
aankhon ke gird siyah halkay
Kam Roshni Mein Computer Use Karne Se:
Agar aap thori si ahtiyat karein or computer ka use sahi tareekay se karein to aap is problem se bach saktay hein.

Neend Na Poori Hone Se:
Har shakhs ke liye zaroori hai ke wo 8 ghantay zaroor soye agar neend na poori ho to is se health kharab rahe gi or aankhon ke gird halkay par jayengay.

Blood Ki Kami Ki Waja Se:
Apni khoorak ka khayal rakhein takay blood ki kami na ho is se naqahat or kamzori ho jati hai or is waja se halkay par jatay hein

Aankhon Ke Gird Siyah Halke Ka Ilaj:
1. Garmi mein ghar se nikalte waqt sun block zaroor use karein.
2. Kheera kaddukash kar ke malmal ke kapre mein dal kar achi tarah nichor lein. Ab is ka rus cotton ki madad se aankhon ke gird lagayen.
3. Potato kaat kar is ke pieces aankhon par rakhein.

Facial Beauty Tips In Urdu

Facial Beauty Tips For Face In Urdu
facial beauty tips in urdu
Khawateen ke liye facial karna ab 1 zaroorat ban chuka hai, chehray ki khoobsurti ko maintain rakhne ke liye jahan make up ka sahara liya jata hai wahan jild ki tazgi or nikhar ke liye jild ko facial ki bhi zaroorat hoti hai kiyounke barhti hui environmental pollution se face mutasir hota hai. Face par different nishan par jatay hein or chehra murjhaya sa lagnay lagta hai. Aesi soorat mein facial ke hi zariye chehray ki khoobsurti or tazgi ko maintain rakha ja sakta hai. Ladies agar facial karein to make up ki bhi zaroorat kam parti  hai. Agar hum yeh kahein ke facial skin ki ghiza hai to ghalat na hoga. Kiyounke is se blood circulation barhta hai. Skin ke muscles tight hotay hein jo chehray ki taro tazgi or chamak ka ba'is bantay hein.
Facial ke liye aap ko in cheezo ki zaroorat hoti hai, cold cream, rose water, cleansing cream ya lotion, towel, cotton, tissue paper, hair band, steamer or ice pieces. Facial karne se pehle chehray ki cleansing bohat zaroori hai, cleansing ke liye koi acha sa lotion lein or cotton ki madad se chehray or gardan par achi tarah laga lein, 3 se 5 minute tak cotton ya fingers pores ki madad se halka massage kar lein, cleansing ke baad chehre ko achi tarah tissue paper se saaf kar lein, is tarah chehray par jami gard saaf ho jayegi, ab facial massage ka marhala aata hai.
Facial massage marhala war hona chahiye is ke liye chehray ki step bana lein to ziyada behtar hoga. Naak, gaal, aankho or gardan ko separately massage karein. Facial massage karne ke liye aesaab ko dheela chor dein. Araam or sukoon ki  halat mein kharay hokar ya beth kar bhi massage kiya ja sakta hai. Ab cold cream ko dotes ki shakal mein face par lagayen or slowly slowly chehray par 5 minute tak massage kar ke cotton ki madad se saaf kr lein. Yaad rakhein ke massage karte waqt aap ke hath nihayat narmi se kaam karein. Ab apne dono hatho se kaan ke upar se sar ko pakrein or anghootay ko nose par rakh dein ab anghooto ko nose or forehead ki janib se up and down move karein. Yeh amal 2, 3 martaba dohrayen.
Ab aankho ke massage ka marhala aata hai, yaad rakhein ke aankho ke massage hamesha ring fingers se karna chahiye kiyounke is finger se eyes par bohat softly massage kiya ja sakta hai. Ring fingers ko nose ke konay se lekar ears tak aahista aahista dabao daltay huway massaga karein.

Chamakdar Or Ghane Balon Ke Liye

Chamakdar Or Ghane Balon Ke Liye
chamakdar or ghane balon ke liye
  • Balon ko chamakdar or ghana rakhen ke liye inhein dhonay ke baad kachay coconut ka pani lagayen
  • Rookhay balon mein ronaq lanay ke liye 4 khane ke spoon curd, 2 spoon mehandi chaan kar or tea spoon coconut oil ya olive oil mila kar achi tarah se balon mein lagayen or 20 minute baad dho lein. Yeh amal hafta mein 2 ya 3 martaba karein.
  • 1 khane ke spoon mehandi mein 1 khane ka chamcha sarso ka oil milayen. Is mein 1 anda or aadha chaye ka chamcha lemon ka rus mila dein. Phir is ko balon mein laga kar kuch ghanto ke liye kapra lapet kar chor dein or dho lein. Yeh balon ka rookha pan khatam kar dega.
  • Thori se mayonnaise se agar balon mein malish karein or thori dair baad dho lein to baal naram or chamakdar ho jayenga.
  • Agar aap ke baal rookhay or be ronaq hein to anday ki safedi or zardi alag kar lein zardi ko khoob phent lein phir is mein 1 khane ka chamcha pani mila dein phir zardi or safedi mila kar khoob achi tarah phent lein or balon mein fingers ke zariey se achi tarah malish kar ke lagayen aadhay ghantay baad thanday pani se dho lein.

Urdu Totkay

Urdu Totkay
urdu totkay


Quit Smoking Health

Quit Smoking Health

To help you fight the urge to smoke:
  • Set a date in the next two weeks to stop smoking and stick to it.
  • Throw away all your cigarettes and ashtrays.
  • Stay away from others smokers.
  • Tell your family and friends you are quitting and ask for their help.
  • See your doctor to keep track of your progress.
  • Talk to your doctor if you are having trouble, especially if quitting makes you gain weight or feel depressed.
  • Stick with your plan.
  • If you fail, don't give up. Tra again. Some people need to start over three or four times before they beat the habit.

Benefits Of Rose Water

Arq e Gulab Ke Fawaid

arq e gulab ke faide
arq e gulab for skin
rose water benfits for skin
advantages of arq e gulab

Zamana qadeem se gulab or gulab ka arq husn o araish ka hissa raha  hai. Gulab ki pattiya se arq e gulab kasheed kiya jata hai jo ke tamam skin tonics ka lazmi juzz tasawur kiya jata hai. Ise mukhtaif mukhtalif kisam ke mask banane mein use kiya jata hai. Chehre ki safai ke liye arq e gulab behtareen hai. Kiyounkay skink par koi cream, lotion ya mehlool us waqt apna kaam kar sakta hai jab jild saaf ho. Gulab ki pattiyo ko pani mein ubal kar nahane se body khushboodar jild saaf ho jati hai. Tareekh mein raqam hai ke shahi khandan ki khawateen body ki khoobsurti or khushboo ke liye gulab ki pattiyo ke pani se ghusal karti thi.

Roses and rose water have long been a part of beauty since ancient times. Rose water is extracted from rose petals, which is considered an integral part of all skin tonics. It is used in making different types of masks. Rose water is best for facial cleansing. Because any cream, lotion or solution on the skin can work when the skin is clean. Boiling the rose leaves in water, the body cleanses the aromatic skin. It is recorded in the history that women of the royal family used to bathe in rose water for the beauty and aroma of the body.

Advantages Of Mango In Urdu

Advantages Of Mango In Urdu
aam ke fawaid in urdu
Aam Ke Fawaid
Aam Ke Fayde
Phalo ka badshah aap chehra saaf or jild ko chamakdar banata hai. Garmio ke mosam mein qudrat ka khaas tohfa hai log to is ke zaiqay ke deewanay hein, lekin agar aap ko be dagh, chamakdar jild or tez beenai chahiye to jab tak mosam hai faida uthayen. Phalo ke zaiqa dar badshah aam ke shoqia khane wala ka koi hisab nahi. Qudrat ne is mazay dar phal mein sehat ke liye bhi beshumar fawaid chupaye hein. Jadeed tehqeeq ke mutabiq aam mein mojood Vitamin A or Anti Oxide jild ko dhabbo se bachate hein or Beta Carotene se beenai tez hoti hai. Mahireen sehat ke mutabiq is rozana use jild ko saaf, chamak dar banane ke sath jhurrio se bhi mehfooz rakhta hai.

Nariyal Or Nariyal Pani Ke Fawaid

Nariyal Or Nariyal Pani Ke Fawaid In Urdu
Nariyal Or Nariyal Pani Ke Fawaid
benefits of coconut
benefits of coconut oil
coconut health benefits
nariyal ke faide

Khano ke zaiqay ko mazay dar banane ke liye nariyal ka use kiya jata hai, yeh hazmay ke nizam ko durust karne mein bhi important role ada karta hai. Is ke use se aanto or jigar (Liver) ke afaal mein bhi behtari paida hoti hai, expert ka kehna hai ke nariyal ke pani ko mehfooz tareen pani ke hesiyat di jati hai or is ke pani ko bohat shoq se use kiya jata hai. Nariyal ke pani ko khaas tor par garmi mein regular use karna chahiye kiyounkay is ke use se poora din aap ko garmi ka ehsad nahi hota. Nariyal ke khoobi yeh hai ke yah aap ki skin ko na sirf thandak ka ehsas dilata hai balkay body ke dagh dhabbo ke nishanat ko bhi saaf karne mein bharpoor madadgar sabit hota hai. Tibbi mahireen ke mutabiq nariyal ke tel ko sadyo se balon ki nashonuma or sehat ke liye use kar jata hai. Aal ke tarakki yafta dor mein nariyal mukhtalif qisam ke shampoos or hair conditioner mein availabel hein.

Green color ka nariyal ka pani bad hazmi ke liye akseer hai.
Nariyal (Coconut) dimaghi kamzori ko door karta hai.
Nariyal ka tail (Coconut oil) sar ki khushki door karta hai, balon ko lamba or chamakdar karta hai.
Dard e gurda or dard e masana ke liye mufeed hai.
Khushk khansi mein ise aag par senk kar raat ko sotay waqt khana bohat mufeed hai.

Saib (Apple) Ke Faide In Urdu

Apple Benefits In Urdu
saib k fawaid in urdu


Saib 1 nihayat sehat afza ghiza or nihayat taqat bakhsh dawa hai. Is ke mutawatar use se sehat o shabab mein char chand lag jatay hein. Rozana nihar moo 3 4 saib kha kar upar se milk piya jaye to 1 2 month mein hi sehat qabil rashk ban jati hai. Jild ka rang o roghan nikhar aata hai. Chahre par surkhi ke lehar aa jati hai. In short youn kehna chahiye ke is ghiza se wo tamam fawaid hasil ho jatay hein jin ka zikar bari bari qeemti medicines ke advertiement to paya jata hai magar jo dar asal kisi medicine se hasil  nahi hotay.

Daily 1 se 2 apple ka use cholesterol ko kam karne mein madad faraham karta ha.
Tibbi mahireen ke mutabiq insani jism mein muzir cholesterol mein izafay ke bai's high blood pressure ka marz lahaq hota ha or insani body mein cholesterol ka tawazun barqarar rakhnay ke liye daily apple ka use faida mand ha.
Tibbi mahireen ke mutabiq apple mein mojood anti oxidants cholesterol ko sharyano mein ikhatte nahi hone dete or is tarah blood mein cholesterol ki sharah ko kam karte hein.
Dil ki ghabrahat ki soorat mein fresh apple ya is ka murabba khana intahai mufeed ha. Ismein iron, vitamin A, calcium, phosphorus paye jatay hein jo insani health ke liye zaroori hote hein, iske ilawa vitamin B or C bhi hote hein.
Canadian expert ne kaha ha ke daily saib chilke ke sath khane se blood pressure ki beemari se bachao mumkin ha, mahireen ke mutabiq saib chilkay ke sath khana green tea or blue berries ki nisbat ziyada karamad sabit hota ha, ye blood pressure ko normal rakhta ha or is ke daily use se blood pressure ki beemari se bachao mumkin ha.
Ye hypertension se rokta ha. Apple khanay ke bohat fawaid hein, ye body ko energy provide karta ha, saib khana achi sehat ke liye zaroori ha, ye phal qudrat ka qeemti tohfa ha.

Motapa Kam Karne Ke Liye

Motapa Kam Karna In Urdu
motapa kam karne ke liye
Tibbi expert ne kaha hai ke dahi motapa kam karne mein important role ada kar sakti hai. Specially zichgi ke baad moti hone wali ladies ko dahi ka ziyada use karna chahiye. Is zaman mein hone wali tibbe tehqeeq ko european congress baraye motapa ke 17 ijlas mein pish kiya gaya. Tibbi expert ne kaha hai ke dahi mein mojood insan dost bacteria motapay ke amal ko sust kar detay hein jis se jism mein sugar level ki surface normal or carbohydrate ko kharij hone mein bharpoor madad milti hai. Tibbi expert ne bataya hai ke bacha paida hone ke baad aksar ladies motapay ki zad mein aa jati hein. Aesi ladies ko dahi ziyada se ziyada use karni chahiye. Is research ko university of tarako ne compose kiya jis ke mutabiq din mein 1 baray size ke cup par mushtamil dahi zaroori hai.

Sugar Ke Ilaj Ka Behtareen Nuskha

Sugar Ke Mareezo Ke Liye Behtareen Nuskha
diabetes sugar control
Diabetes Sugar Control

Saudi Arab mein Tabook ki adalat ke supreme judje ne 1 taweel experience ke baad Allah Ta'la ke fazal o karam se sugar ki  beemari ke ilaj ke lye 1 kamyab nuskha daryaft kar lya, is beemari se bohat se log bilkhusoos boorhay mard or aurat ziyada mutasir hein. Sheikh mohtaram 1 lambe experience, anthak mehnat or koshish musalsal sabar ke baad is beemari ka itna behtareen nuskha daryaft karne mein kamyab hue hein, is  nuskha mein shamil hone wali ingredients or quantity darj zail hein.
Gehoon ka aata 100 g
Gond 100 g
Jo 100 g 
Kalongi 100 g   
Dawa ki tayyari ka tarika mazkoora charon cheezo ko kisi bartan mein lekar is mein 5 cup pani dalein phir ise kam az kam 10 minute josh dein, is ke baad aag bujha dein or is ko az khood thanda hone ke lye chor dein ab ise chaan lein or bachay hue pani ko bartan mein rakhein

Istamal Ka Tarika:
Diabetes mein mubtala mareez breakfast se pehle nihar moo 7 din tak continue tea ya qehway ki choti piyali ke barabar miqdar lein.
7 din ke baad musalsal 1 hafte tak 1 din piye or 1 din nagha karein. 1 hafta guzarne ke baad dawa ka istamal bilkul band kar dein or bila rok tok jo dil chahay ghiza istamal karein, Allah ke fazal o karam se kuch nuqsan nahi hoga Insha Allah.

Gajar (Carrot) Ke Faide In Urdu

Gajar Ke Juice Ke Faiday

gajar ke faide in urdu
Health Benefits Of Carrot

Gajar ka  juice agar palak ke juice ke sath mila kar or thora sa lemin ka rus mila kar piya jaye to qabz ki complain door ho jati hai. Kiyounke spinach antaryo ko saaf karne mein madad deti hai.

Diarrhea:
Gajar ka juice diarrhea ke marz mein 1 umda natural ilaj sabit hota hai. Yeh pani ki kami ko door karta hai. Namkiyat ki kami ko poora kar deta hai. Or aanto ki soozish se tahaffuz provide karta hai. Is ke use se bacteria ki nasho numa ruk jati hai or vomitting or  nausea ki shikayat door ho jati hai.
Half kilo carrot ko 150 ml pani mein itna boil karein ke ye  naram ho jaye. Pani ko nathar lein or half khane ka chamach namak daal kar yeh mashroob har aadhay ghantay baad mareez ko dein.

Pait Ke Keere:
Gajar har kisam ke keero ka dushman hai. Bacho ke pait se keere kharij karne ke liye bohat mufeed hai, 1 chota cup kaddukash ki hui gajar subah nihar moo khilana is silsila mein bohat mufeed hai, gajar ko different tareeko se khaya jata hai. Ise salad ki soorat mein kacha use kar saktay hein, boil kar k bhi useful hai, bhoon kar salan ke tor par bhi use kar sakte hein. Is ka juice dunya bhar mein famous hai, wesay kacha use karna ziyada mufeed hai. Kiyounke ziyada pakane se is maadni ajza zaya ho jate hein. Sardi mein gajar ka halwa taqat ke liye or body ko garam rakhen mein madad deta hai. Gajar ko kaddukash kar ke milk mein pakaya jata hai jab achi  tarah pak jaye to desi ghee, almond, chilghoza, walnut, Pistachio or warq naqra laga kar use kiya jata hai. Gajar ka murabba sara saal availabel rehta hai. Heart or meda jigar ko taqat deta hai, khafqan or ikhtalaj-e-qalb mein bohat mufeed hai. Yaad rahe gajar ka mizaj garam hota hai.
 

Aaru Ke Fawaid

Peach Ke Faide

Benefits Of Peach
aaru k fawaid in urdu
Peach Benefits In Urdu

Aaru mosam e garma mein kasrat se paida hone wala fruit hai is Vitamin A or Potassium samait kai ghizai ajza ki wafir miqdar mojood hoti hai  jab ke deegar ingredients mein  Vitamin B, Riboflavin, Niacin, Vitamin C, Calcium, Iron, Phophorus, Protein or Carbohydrates bhi shamil  hein.100 gram aaru ko body ko 45 calories provide karta hai. Atba ke mutabiq aaru skin ko sehat mand bana kar is ki rangat ko nikharta hai.
Yeh pait ke keeron se nijat dilane mein mufeed paya gaya hai or Vitamin A se bhi bharpoor hone ki waja se cancer se bachao mein bhi madad deta hai. Yeh 80% se zaid pani or dietary fiber ki bharpoor miqdar ki waja se weight par qabu pane ke khuwahish mand afrad ke liye bhi best khayal kiya jata hai. Tibbi mahireen ise qabz kusha phal qarar detay hein jabkay yeh body mein glands or rasoli ke paida war rokne mein bhi useful hai. Joro ke dard mein mubtala afrad kasrat se is ka use kartay hein jis se in ke joro ka dard bohat had tak kam ho jata hai.

Kailay (Banana) Ke Fawaid

Health Benefits Of Banana

kelay kay fawaid

kelay ke fawaid in urdu   

benefits of banana in urdu
banana ke fawaid
kele ke faide


Beauty Benefits Of Banana

kailay k fawaid, keel muhase ka ilaj in urdu
 keel muhase ka ilaj in urdu
keel muhase treatment in urdu
acne tips in urdu
desi totkay for acne in urdu


Health Benefits Of Banana
Sehat mand zindagi guzarnay ke liye kelay ko apni ghiza ka hissa bana lein.
Kailay par ki janay wali tehqeeq se ye baat samnay aai hai k is ke use se blood pressure control mein rehta hai kiyounka is mein shamil potassium insani khoon mein na sirf blood pressure ki satah barqarar rakhta hai balkay is ko barhnay se bhi rokta hai.
Tibbi mahireen ke mutabiq kelay khane se dil ki bhi mukhtalif beemario se bacha ja sakta hai. Kelay mein mojood fiber, potassium or vitamin C dil ko sehat mand rakhtay hein, in se sharyano ki beemaria lahaq hone ke khatrat kam hotay hein, kelay ka use cancer, saans or high blood pressure ke amraz mein bhi sood mand sabit hota hai.
Is ke ilawa kelay mein shamil vitamin B zehni salahiyato ko barhanay mein madadgar sabit hota hai, kelay ka rozana use na sirf dil ke doray se bachata hai balkay sartan jesay moozi marz se bachao mein bhi madadgar sabit hota hai or is mein shamil probiotic bacteria bones ki nasho numa mein ahem kirdar ada karta hai.
1 tehqeeq se ye sabit huwa hai k 2 bananas 1.5 hours ki sakht mushaqqat ke baad energy ki bahali ke liye kafi hein, kela hamaray jism ko energy provide karne ke ilawa isay fit rakhnay mein madadgar hota hai, isay apni roz maro ghizao mein shamil karna bohat se beemario se bachao ka bai's bhi banta hai.
Kela body mein khoon ki kami nahi hone deta kiyounkay ye iron se bharpoor hota hai, buland fishar khoon ko motadil rakhne mein kela bohat mufeed hai, kelay pai janay wali potassum ki bhari miqdar or is ke muqabil namkiyat ki kam miqdar khoon ke dorania ko behtar banati hai.



Beauty Benefits Of Banana
Agar muhaso ko khatam karne ka alternate ilaj chahte hein to kailay (Banana) ka chilka lekar ise muhase par rakhein. Is mein kailay ki yellow jild bahar ki janib ho. Kailay ke hissay ko plaster k zariye muhase par chip ka dein.
Aap ko andaza ho gaya hoga ke kaila kai awariz ka ilaj hai. Agar hum kailay ka comparison saib se karein to is mein saib ke muqablay mein Protein 4 guna, Carbohydrate 2 guna, Phosphorus 3 guna, Vitamin A or Iron 5 guna or deegar Vitamin or minerals 2 guna ziyada shamil hein. Yeh potassium se bhi mala maal hai.
Aap dekhtay nahi ke bandar jo kaila shoq se khatay hein hamesha khush or chaq o choband rehtay hein. Aap kailay ke chilkay se polish ka kaam bhi lay saktay hein. Is ke andurooni hissay ko apne shoes par rub karein or phir saaf kapray se saaf kar lein.
Aap kailay ke gooday ko honey or thoray se lemon ke juice ke sat mix kar lein. Is ka sooraj tulu hone se aadha ghanta pehle lap kar lein. Sooraj tulu hone se pehle pani se dho lein. Aap ka chehra kailay ki tarah chamakne lage ga. Yaad rahe, kailay ko kabhi fridge mein na rakhein.