Farz Namaz K Baad Jaga Tabdeel Karna

Farz Namaz K Baad Jaga Tabdeel Karna
farz namaz k baad jaga tabdeel karna
Question: Kiya Farz Namaz ke baad Sunnat ya Nafil parhne ke liye jaga tabdeel karni chahiye ya usi jaga hi inhein ada kiya ja sakta hai?

Answer: Farz Namaz ada karne ke baad Sunnat ya Nafil parhne ke liye jagah tabdeel karli jaye ya guftugoo ke zariya in ke darmiyan fasla kar liye jaye. Kiounke Hadees mein hai Hazrat Ameer Muavia kehtay hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne hamein hukum diya hai, hum 1 Namaz ke sath doosri Namaz na milayen, guftugoo karle ya Masjid se nikal jaye (Sahi Muslim: 883)

1 Sahabi (R.A) biyan karte hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne Namaz-e-Asar ada farmai phir 1 admi khara ho kar Namaz parhne laga, usay Hazrat Umar (R.A) ne dekha to kaha beth jao, kiounke Ahle Kitab ko is baat ne hilak kiya tha ke in ki Namazon mein fasla nahi hota tha tab Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya. Ibn Khattab ne bohat achi baat kahi hai. ( Musnad Ahmed, Page 368, Jild 5) nez Rasool Allah (P.B.U.H) ka irshad girmai hai. Kiya tum se koi aajiz hai k wo aagay barhay ya peechay hatay ya bayen dayen ho kar Namaz parh lein yani Nafil namaz. (Abu Dawood: 1006) yeh amar mustahib hai taa ke Sajda kane ki jagah ziyada ho.

Behoshi Or Fot Shuda Namazo K Baray May

Behoshi Or Fot Shuda Namazo K Baray May
behoshi or fot shuda namazo k baray may

Question: Agar koi admi hospital mein musalsal 2 din behosh raha to kiya hosh aane ke baad usay fot shuda Namazein parhna hongi, Quran o Hadees ke mutabiq iski wazahat karein?

Answer: Shaoor gum hone ki soorat mein insan ke zimmay mali huqooq saqit nahi hotay lekin badani ibadat maslan Namaz or Roza waghera saqit ho jatay hein albatta hosh aane ke baad Ramzan ke rozon ki qaza wajib hogi lekin Namazo ki adaigi is ke zimmay nahi hai kiyounke yeh soye huway shakhs ki tarah nahi hai k wo jab bedar ho to fot shuda Namazo ko ada karay. Is liye ke soe huway shakhs mein idrak hota hai agar usay bedar kiya jaye to wo bedar ho sakta hai lekin behoshi mein mubtala insan ko agar bedar kia jaye to wo bedar nahi ho sakta, behosh insan ki bot shuda Namazo ke mutaliq Ahle Ilm ke 2 qol hein: 

Ahle Ilm ka moaqqaf hai ke behoshi ke doran reh jane wali namazon ki qaza us ke zimmay nahi  hai chunachay Hazrat Ibne Umar (R.A) par 1 raat behoshi tari rahi to unho ne us doran fot hone wali Namazo ki qaza nahi di thi.
Kuch ahle ilm ka moaqqaf hai ke behosh admi apni fot shuda Namazein ada karne ka paband hai wo is silsila mein Hazrat Ammar bin Yasir (R.A) ka amal pesh karte hein ke in par 1 din or 1 raat behoshi tari rahi to unho ne hosh mein aane ke baad fot hone wali Namazo ki qaza di thi.

Kisi Bhi Qism Ki Marz K Shifa K Lye

Kisi Bhi Qism Ki Marz K Shifa K Lye
har marz ki shifa k lye

Shar Say Hifazat K Liye

Shar Say Hifazat K Liye
shar say hifazat k liye

Qarz Ki Adaigi Ka Wazeefa

Qarz Ki Adaigi Ka Wazeefa
qarz ki adaigi ka wazeefa, qarz ki adaigi ka wazifa
Qarz Ki Adaigi Ka Wazifa
Qarz Ki Adaigi Ka Wazifa In Urdu

Hazrat Ali (R.A) farmatay hein k Huzoor Akram (P.B.U.H) nay sikhaye mujh ko (Mazkoora) kalmat or farmaya k agar tujh par baray pahar k barabar qarz ho to Allah Azzawojal us ko ada karay ga tujh say. (Tirmizi Shareef) 

Tarjuma: 
          A Allah kifayat kar mujh ko apni halal rozi k zariye say apni haram karda rozi say bacha kar or bay parwah kar mujh ko apnay fazal say apnay masiwa say. 

Jadu Say Hifazat

Jadu Say Hifazat Or Dua Ki Qabooliyat Ka Nuskha

Jadu Say Hifazat Or Dua Ki Qabooliyat Ka Nuskha

Jadu Se Hifazat Ke Liye:
Hazrat Amir Bin Saad (R.A) apne walid se naqal karte hein ke mein ne Rasool Allah (P.B.U.H) se suna. Aap (P.B.U.H) ne farmaya "Jo shakhs subah ke waqt 7 ajwa khajoorein kha le to use us din na zehar nuqsan pohancha sakta hai or na jadu".

Dua Ki Qabooliyat Ka Nuskha:
Hazrat Abu Hurera (R.A) farmate hein ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya "Agar koi shakhs yeh chahe ke Allah Ta'la museebat or sakhti ke waqt is ki Dua qabool kare to use chahiye ke rahat or aram ke waqt ba kasrat Dua kare".

Pehli Saf May Namaz Parhna

Pehli Saf May Namaz Parhna
pehli saf may namaz parhna

Infaradi Namaz ke muqablay mein jamat ke sath Farz Namaz parhnay ki fazeelat 27 guna ziyada hai lekin jamat ki Namaz mein bhi pehle saf mein Namaz parhnay ka sawab sab se ziyada hai. Hazrat Muhammad (Peace Be Upon Him) ne irshad farmaya "Agar tumhay maloom ho jaye k pehli saf mein kiya fazilat hai to qura andazi karni parhay, Hazrat Abu Umama (R.A) riwayat kartay hein ke Hazrat Muhammad (Peace Be Upon Him) ne farmaya, Allah or us ke farishtay pehli saf par rehmat bhejtay hein." (Musnad Ahmad)

Or Hazrat Haaz Bin Sariya (R.A) farmatay hein ke Hazrat Muhammad (P.B.U.H) pehli saf ke liye 3 martaba astaghfar farmatay thay or doosri saf ke liye 1 martaba. (Nasai Ibn Majah)

Lehaza youn to har Namaz pehli saf mein parhnay ki koshish karni chahiye or agar har Namaz mein is ki pabandi no ho sakay to jab kabhi moqa milay pehli saf ki fazeelat hasil karne ki fikar ahtamam karni chahiye lekin pehli saf mein is tarah zabardasti ghusna jaiz nahi hai jis se doosron ko takleef ho.

Chunanachay Hazrat Ibn Abbas (R.A) ne irshad farmaya "Jo shakhs is khof se pehli saf ko chor day ke kisi doosray ko takleef hogi to Allah Ta'la is ko pehli saf ke sawab se dugna sawab ata farmatay hein."


Namaz K Masail

Namaz K Masail
namaz k masail in urdu
Question: Qaza Namazo ko kese ada karna hoga?
Answer: Qaza Namazo mein sirf Farz or Witar parhtay hein, sunnatein or nafilein nahi.

Question: Kai saal ki Namazein qaza ho gai ho to inhein kese ada kiya jaye?
Answer: Admi ko koshish karni chahiye ke koi Namaz bhi qaza na hone paye or agar kisi waja se koi Namaz qaza ho jaye to usay jald se jald ada kar lena chaiye. Kisi shakhs ki agar kai saal ki Namazein qaza ho jayen to andaza kar ke k itnay arsay ki Namazein qaza ho gai hongi, is se kuch ziyada Namazein parh li jayen or asan tarika yeh hai k har waqti Namaz k sath 1 ya 2 qaza Namazein bhi parh li jaye.

Question: Qaza Namaz parhtay waqt niyat kis tarah ki jaye gi?
Answer: Qaza Namaz parhtay waqt is baat ka tayyun karna zaroori hai ke yeh Namaz falan din, falan tareekh ki ada ki  jarahi hai lekin yeh yaad rehna bohat mushkil hai, is liye asan tarika yeh hai ke qaza Namaz ke liye is tarah niyat kar li jaye ke meray zimmay maslan Zohar ki jo Namazein hein, in mein se pehli Namaz ada karta hoo. Har martaba pehli Namaz hi ki niyat karni hogi. Jo bhi Namaz parhi jaye us ka naam le liya jaye.

Question: Sharan Namazi kon shakhs kehlaye ga?
Answer: Sharan Namazi wo shakhs kehlaye ga ke jab se us par Namaz farz hui hai us koi Namaz bhi qaza na hui ho or tamam Namazein pabandi se ada karta ho. 

Question: Aesa shakhs jo Namaz ka paband ho ittifaqan kisi waja se us ki kuch Namazein qaza ho jayen to usay pehlay qaza ho janay wali Namazein ada karni chahiye ya waqti Namazo ke sath sath qaza Namazein bhi parhta rahay?
Answer: Aesay shakhs ki agar pancho Namazo se kam Namazein qaza ho jaye to usay pehlay qaza ho janay wali Namazein parhni chahiye, jab wo sari Namazein parh lay tab waqti Namazein parhi jaye or agar qaza Namazein poori na parhi ja sakein or darmiyan mein waqti Namazein parh li to un qaza Namazon ko mukammal kar lenay ke baad wo waqti Namaz jo parhi gai thi us ko doobara parhna hoga.

Question: Witar mein teesri rakat mein Surah parhna bhool jaye to kiya Namaz ho jaye gi?
Answer: Witar ki teesri rakat mein Surah parhna bhool janay ki soorat mein Namaz doobara parhni hogi.

Mahe Rajab Ka Wazeefa In Urdu

Mahe Rajab Ka Wazeefa In Urdu
mahe rajab ka wazeefa in urdu
Mahe Rajab Ka Wazifa In Urdu
Mahe Rajab Ke Wazaif 

1. Jab kisi qism ki mushkil may mubtala ho to is wazeefay ko parhay to Insha Allah Azzawojal Rab Kareem us say har qism ki aafat ko door farma day ga.
2. Rozana 2 rakat Salat o Toba parhein or gunahon say sachi toba karein or phir do rakat Salatul Hajat parhein.
3. Pooray mahinay may 3 rozay
4. Rozana aadha ghanta Durood Sharif

Wazaif For Imraz e Jigar

Wazaif For Imraz e Jigar, Qurani Wazaif Urdu
urdu Qurani Wazaif for imraz e jigar
Imraz-e-Jigar:
Agar kisi mard ya aurat ko jigar ka koi marz ho to 1 kaghaz par mandarja bala Ayat likh kar Taweez bana liye jaye. Is Taweez ko mard bazoo par bandhay or aurat galay may pehnay. Ilawa Azen yehi kalmat kaghaz ya cheeni ki rukabiyo par likh kar pani say dho kar wo pani nihar moo piya jaye. Insha Allah jald hi jigar k har marz say shifa naseeb hogi.
2. Agar kisi shakhs k jigar may dard, zakham, pathri waghera wo ya wo jigar k kisi or marz may mubtala ho to yeh Ayat mubarak 21 baar parh kar pani par dam kar k wo pani us shakhs ko pilaya jaye.
Insha Allah jigar k har marz say shifa hogi.

Gum Shuda Ya Chori Shuda Cheez K liye

Gum Shuda Ya Chori Shuda Cheez K liye
gumshuda cheez milne ki dua


Agar kisi ki koi cheez gum ho jaye sona gum ho jaye ya chori ho jaye to 119 martaba Ya Hafeezu or 119 martaba gumshuda cheez milne ki dua parh kar us gumshuda cheez ya sona ki wapsi k liye Dua karein to Insha Allah wo cheez mil jaye gi. Nihayat mujarrib hai.

Moharram Ul Haram K Khusoosi Wazaif

Moharram Ul Haram K Khusoosi Wazaif
moharram ul haram k khusoosi wazaif
Muharram Ul Haram K Wazaif In Urdu
1. 700 martaba rozana (see in image).
2. Do rakat nafil is tarah har rakat mein Surah Fatiha k baad 11 martaba Surah Ikhlas parhein. Phir salam phernay k baad 11 martaba Subboohun Quddoosun Rabbuna Wa Rabbul Malaaikatee parhein.
3. Aadha ghanta Durood Sharif parhna hai jo ba aasani parh sakein.
4. Pehlay Aashray mein 3 rozay. Warna jab aasani ho us mah mein rakh lein. Rasool Allah (P.B.U.H) nay irshad farmaya: Jo koi Moharram k 3 din Jumrat, Juma, Hafta k rozay rakhay to us k liye 9 saal ki ibadat ka sawab likha jata hai. 

Dua e Qunoot

Dua-e-Qunoot
dua e qunoot


Dua Ki Ahmiyat

Dua Ki Ahmiyat In Urdu

dua ki ahmiyat in urdu
Dua Ki Ahmiyat In Islam


Dua Ki Ahmiyat (Dua Na Mangne Se Allah Naraz Hota Hai):
Hazrat Abu Hurera (R.A) farmate hein Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya "Jo shakhs Allah se dua nahi mangta Allah us se naraz hota hai"    (Tirmizi)

Wo Log Jin Ki Dua Qabool Ki Jati Hai:
Hazrat Abu Hurera (R.A) farmate hein Rasool Allah ne farmaya "3 aadmio ki dua qabool ki jati hai  jis mein koi shak nahi. Mazloom ki dua, musafir ki dua, walid ki dua pane bete ki haq mein"

Taraweeh Ki Dua

Taraweeh Ki Dua
taraweeh ki dua

Namaz-e-Taraweeh Ki Dua

Shetan K Shar Say Bachnay K Liye

Shetan K Shar Say Bachnay K Liye
shetan k shar say bachnay k lye
1. Huwallahur Raheem jo har Namaz ke baad 7 bar parh liya karega Insha Allah shaitan ke shar se bacha rahega or us ka Iman par khatima hoga.

2. Ya Fattahu 70 bar rozana baad Namaz-e-Fajar dono hath seenay par rakh kar parha karega Insha Allah us ke dil ka zang o mail door hoga.

3. Ya Hakimu 80 bar rozana pancho Namazo ke baad jo parh liye kare Insha Allah kisi ka mohtaj na hoga.

DUA-E-ISTIKHARA

DUA-E-ISTIKHARA
dua-e-istikhara


Ghussa Aanay K Waqt Ki Dua

Ghussa Aanay K Waqt Ki Dua
ghussa aanay k waqt ki dua
Mein shaitan mardood se Allah Azzawojal ki panah chahta hoo.

Ba Wazoo Sonay K Fazail

Ba Wazoo Sonay K Fazail
ba wazoo sonay k fazail

Ba Wuzu sonay walay ki rooh Baitullah ka tawaf karti ha.
Farishtay sari raat naikiya likhte rehte hein.
Jab karwat badalta ha to Farishtay bakhshish ke liye Dua karte hein.
Subah jab sokar uth'ta ha to jo Dua mangta ha wo qabool hoti ha.
Lehaza raat ko Wuzu karke sonay ko apnay mamool banao or doosro ko bhi batao.

Aabe Zam Zam

ABE ZAM ZAM
aabe zam zam

Japan mein qaim institute baraye tehqeeq ke sarbarah aur namwar international Scientist Doctor Masaru Emoto ne inkashaf kiya ha ke Abe zam zam mein aesi khusoosiyat pai jati hein jo is ke siwa dunya ke kisi aur pani mein mojood nahi. Neto technology ki research ke zariye ye baat samne aai ke Abe zam zam ka 1 qatra milne se kai guna ziyada aam pani mein bhi wohi individual khusoosiyat paida ho jati hein jo Abe Zamzam mein hein. Research se ye bhi sabit huwa ha ke Aabe Zam Zam ke khuwas ko kisi tarah bhi change karna mumkin nahi. Japani Scientist ne mazeed kaha ke Muslim khanay peenay aur har kaam se pehlay Bismillah parhte hein aur ye bhi herat angez baat ha ke jis pani par Bismillah parhi jaye us mein ajeeb qisam ki tabdeeli waqu pazeer ho jati ha.