Pani Say Chehra Khoobsurat

Pani Say Chehra Khoobsurat
pani se chehra khoobsurat

Insani sehat ke liye pani ki bohat ziyada ahmiyat hai. Pani ke munasib istamal se chehray ki khoobsurti mein bhi izafa kiya ja sakta hai, khawateen chehray ki jild ko saaf suthra or shadab banane ke liye tarah tarah ke jatan karti hein taham sirf pani ke chand glass wo kaam kar sakte hein jin ke liye khawateen expensive lotion or creams istamal karti hein, pani hamari jild ko qudrati nami faraham karta hai or lotion ya deegar moisturizer se hasil hone wali nami is ka muqabla nahi kar sakti, is maqsad ke liye waqfay waqfay se pani peene ko aadat bana lein, expert ke mutabiq sirf life style mein positive changing la kar chehray ki taro tazgi bahal ki ja sakti hai. Agar aap ko raat dair tak jagnay or subah dair tak sonay ki aadat hai to ise badalna hoga, raat jitni jaldi mumkin ho so jayen or subah suraj nikalne se pehle bedar hon, uthne ke baad sab se pehlay kaam 2 glass pani peena hai, is ke baad 1 ghantay tak nashta karein, pani hamesha khane se qabal piyen ya khane ke doran chand ghoont pani pi lein taham khana khatam karne ke baad pani peenay na sirf maida kharab hota hai balkay jigar ke masail bhi paida hotay hein or youn chehray ki ronaq mein bhi kami aati hai. Din mein kam az kam 3 liter pani zaroor piyen, koshis karein ke piyas lagnay se qabal pani pi lein, din mein 1 bar kisi bhi waqt 1 glass pani mein 1 khane ka spoon sugar or 2 chutki salt mix kar ke piyen, is se na sirf energy bahal rahegi balkay namkiyat ki kami bhi kisi had tak poori hogi. Pani se chehra dhona bhi jild ki taro tazgi mein izafa karta hai, garmiyo ke mosam mein din mein kam az kam 5 bar thanday pani se chehra zaroor dhoyen, agar aap ki jild chikni hai to phir is se bhi ziyada bar chehra dhona mufeed rahe ga.

No comments:

Post a Comment