Balon Ko Khushki Say Bachaye

Balon Ko Khushki Say Bachaye
balon ko khushki se bachye
Save Your Hair From Dandruff
Baal khush ho to na sirf rookhe pheeke or be jan lagtay hein balkay weak ho kar tootna or girna bhi shru ho jatay hein sir ki jild mein aese gland hotay hein jo jild or balon ko qudrati nami faraham karte hein jis se baal sehat mand or chamakdar rehtay hein, agar kisi waja se yeh gland theek tarah se kaam krna chor dein to khushki paida honay lagti hai, sard mosam mein aam tor par khushki ki shikayat ho jati hai jis ki bohat si wajoohat hein taham thori mehnat or ahtiyat se balon ko khushki se bachaya ja sakta hai. Ziyada garam pani se sar dhona khushki ki 1 bari waja hai, koshish karein ke neem garam pani se nahayen, ziyada garam pani balon ke liye munasib nahi, sardiyo mein kam pani ka use or paseena na aana bhi khushki ki 1 bari waja hai. Is problem par bhi qaboo pana chahiye. Is ke ilawa haftay mein kisi achay oil se 2 dafa sar ka massage zaroor karein. Shampoo haftay mein sirf 2 bar use karein or shampoo karne ke baad conditioner zaroor lagayen. Sarso ka oil, dahi or egg hair ke liye useful hai. 1 bartan mein 2 spoon sarso ka oil, 3 spoon curd or 1 egg ki zardi mix kr lein or is mixture ko hair ki jaron mein lagayen, ghantay baad sar dho lein, har haftay mein 1 bar aesa karein to 1 month ke baad khushki se mukammal nijat mil jaye gi. Is ke ilawa bolon mein comb karna bhi inhein khushki se mehfooz rakhta hai. Balon mein comb karne se jild mein blood circulation increase ho jata hai jis se chiknahat paida karne walay glands bhi harkat mein aa jatay hein or youn hairs tak munasib quantity mein chiknai pohanchti rehta hai. Comb karne ke liye motay dandano wali kanghi use karni chahiye or ise sar mein kuch dair ke liye taiz taiz ragarne ki bajaye 15 minute tak halke hath se karna chaiye, rozana aesa karne se hair jald hi sehat mand lagnay lagein gay.

No comments:

Post a Comment